main ghazal ka badan sanwaarta hoon
jab tumhein pannon par utaarta hoon
wahan tak jaati nain koii awaaz
so use cheekh kar pukaarta hoon
rangon se dosti nahin rakhta
aur phoolon pe jaan waarta hoon
tere qadmon mein rakh ke sir apna
pair aakaash mein paasarta hoon
khwaab mein jaun alia hokar
neend mein faariha pukaarta hoon
मैं ग़ज़ल का बदन सँवारता हूँ
जब तुम्हें पन्नों पर उतारता हूँ
वहाँ तक जाती नइँ कोई आवाज़
सो उसे चीख कर पुकारता हूँ
रंगों से दोस्ती नहीं रखता
और फूलों पे जान वारता हूँ
तेरे क़दमों में रख के सिर अपना
पैर आकाश में पसारता हूँ
ख़्वाब में जौन एलिया होकर
नींद में फ़ारिहा पुकारता हूँ
As you were reading Shayari by Prit
our suggestion based on Prit
As you were reading undefined Shayari