mujh se izhaar-e-mohabbat vo jataane aaye | मुझ से इज़हार-ए-मोहब्बत वो जताने आए

  - Rahman Vaahid

mujh se izhaar-e-mohabbat vo jataane aaye
chain phir se vo mera aaj churaane aaye

ab ke bacche jo ki masroof hain mobile mein
kyun bhala koii yahaan khel dikhaane aaye

ham nahin jaante hain gaav ke tyoharon ko
ham to is shehar mein bachpan mein kamaane aaye

jo uthaata tha mere naaz vo zinda hi nahin
ab yahaan kaun mere naaz uthaane aaye

ham hain rehmaan nahi khulte kisi ke aage
haan alag baat ki gham tumko sunaane aaye

aaj waahid meri qismat ka sitaara chamka
aaj to neend mein bhi khwaab suhaane aaye

मुझ से इज़हार-ए-मोहब्बत वो जताने आए
चैन फिर से वो मेरा आज चुराने आए

अब के बच्चे जो कि मसरूफ़ हैं मोबाइल में
क्यों भला कोई यहाॅं खेल दिखाने आए

हम नहीं जानते हैं गाॅंव के त्योहारों को
हम तो इस शहर में बचपन में कमाने आए

जो उठाता था मेरे नाज़ वो ज़िंदा ही नहीं
अब यहाॅं कौन मेरे नाज़ उठाने आए

हम हैं रहमान नही खुलते किसी के आगे
हाॅं अलग बात कि ग़म तुमको सुनाने आए

आज वाहिद मेरी क़िस्मत का सितारा चमका
आज तो नींद में भी ख़्वाब सुहाने आए

  - Rahman Vaahid

More by Rahman Vaahid

As you were reading Shayari by Rahman Vaahid

Similar Writers

our suggestion based on Rahman Vaahid

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari