Top 205+

Dariya Shayari

Here is a curated collection of Dariya shayari in Hindi. You can download HD images of all the Dariya shayari on this page. These Dariya Shayari images can also be used as Instagram posts and whatsapp statuses. Start reading now and enjoy.

Paginated list of Dariya Shayari. Click on Load more once you reach the end of list to keep reading more content. You can also tap on Sort button below to choose your selection from popular or latest Dariya shayari in Hindi and English. Enjoy reading!

haath khaali hain tire shehar se jaate jaate
jaan hoti to meri jaan lutate jaate

ab to har haath ka patthar humein pahchaanta hai
umr guzri hai tire shehar mein aate jaate

ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke
ja rahe the to koi zakham lagaate jaate

renagne ki bhi ijaazat nahin hum ko warna
hum jidhar jaate naye phool khilaate jaate

main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha
tum to dariya the meri pyaas bujhaate jaate

mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad
log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate

hum se pehle bhi musaafir kai guzre honge
kam se kam raah ke patthar to hataate jaate
हाथ ख़ाली हैं तिरे शहर से जाते जाते
जान होती तो मिरी जान लुटाते जाते

अब तो हर हाथ का पत्थर हमें पहचानता है
उम्र गुज़री है तिरे शहर में आते जाते

अब के मायूस हुआ यारों को रुख़्सत कर के
जा रहे थे तो कोई ज़ख़्म लगाते जाते

रेंगने की भी इजाज़त नहीं हम को वर्ना
हम जिधर जाते नए फूल खिलाते जाते

मैं तो जलते हुए सहराओं का इक पत्थर था
तुम तो दरिया थे मिरी प्यास बुझाते जाते

मुझ को रोने का सलीक़ा भी नहीं है शायद
लोग हँसते हैं मुझे देख के आते जाते

हम से पहले भी मुसाफ़िर कई गुज़रे होंगे
कम से कम राह के पत्थर तो हटाते जाते
Read Full
Rahat Indori
kadam rakhta hai jab raaston pe yaar aahista aahista
to chhat jaata hai sab gard-o-gubaar aahista aahista

bhari aankhon se hokar dil mein jaana sain thode hi hai
chadhe daryaon ko karte hain paar aahista aahista

nazar aata hai to yun dekhta jaata hoon mai usko
ki chal padta hai kaarobaar aahista aahista

tera paikar khuda ne bhi fursat mein banaya tha
banaayega tere jewar sunaar aahista aahista

vo kehta hai hamaare paas aao par saleeke se
ke jaise aage badhti hai kataar aahista aahista

idhar kuch auratein darwaaze par daudi hui aayi
udhar ghodon se utre shehsawaar aahista aahista
कदम रखता है जब रास्तों पे यार आहिस्ता आहिस्ता
तो छट जाता है सब गर्द-ओ-गुबार आहिस्ता आहिस्ता

भरी आँखों से होकर दिल में जाना सैन थोड़े ही है
चढ़े दरियाओं को करते हैं पार आहिस्ता आहिस्ता

नज़र आता है तो यूँ देखता जाता हूँ मै उसको
की चल पड़ता है कारोबार आहिस्ता आहिस्ता

तेरा पैकर खुदा ने भी फ़ुर्सत में बनाया था
बनाएगा तेरे जेवर सुनार आहिस्ता आहिस्ता

वो कहता है हमारे पास आओ पर सलीके से
के जैसे आगे बढ़ती है कतार आहिस्ता आहिस्ता

इधर कुछ औरतें दरवाजे पर दौड़ी हुई आयी
उधर घोड़ों से उतरे शहसवार आहिस्ता आहिस्ता
Read Full
Tehzeeb Hafi
ab us jaanib se is kasrat se tohfe aa rahe hain
ke ghar mein hum nayi almaariyaan banwa rahe hain

hame milna to in aabaadiyon se door milna
usse kehna gaye waktuu mein hum dariya rahe hain

tujhe kis kis jagah par apne andar se nikaalen
hum is tasveer mein bhi tuujhse mil ke aa rahe hain

hazaaron log usko chahte honge humein kya
ke hum us geet mein se apna hissa ga rahe hain

bure mausam ki koi had nahin tahzeeb haafi
fiza aayi hai aur pinjaron mein par murjha rahe hain
अब उस जानिब से इस कसरत से तोहफे आ रहे हैं
के घर में हम नई अलमारियाँ बनवा रहे हैं।

हमे मिलना तो इन आबादियों से दूर मिलना
उससे कहना गए वक्तू में हम दरिया रहे हैं।

तुझे किस किस जगह पर अपने अंदर से निकालें
हम इस तस्वीर में भी तूझसे मिल के आ रहे हैं।

हजारों लोग उसको चाहते होंगे हमें क्या
के हम उस गीत में से अपना हिस्सा गा रहे हैं।

बुरे मौसम की कोई हद नहीं तहजीब हाफी
फिजा आई है और पिंजरों में पर मुरझा रहे हैं।
Read Full
Tehzeeb Hafi
teri har baat mohabbat mein gawara kar ke
dil ke bazaar mein baithe hain khasaara kar ke

aate jaate hain kai rang mere chehre par
log lete hain maza zikr tumhaara kar ke

ek chingaari nazar aayi thi basti mein use
vo alag hat gaya aandhi ko ishaara kar ke

aasmaanon ki taraf fenk diya hai main ne
chand mitti ke charaagon ko sitaara kar ke

main vo dariya hoon ki har boond bhanwar hai jis ki
tum ne achha hi kiya mujh se kinaara kar ke

muntazir hoon ki sitaaron ki zara aankh lage
chaand ko chat pur bula loonga ishaara kar ke
तेरी हर बात मोहब्बत में गवारा कर के
दिल के बाज़ार में बैठे हैं ख़सारा कर के

आते जाते हैं कई रंग मिरे चेहरे पर
लोग लेते हैं मज़ा ज़िक्र तुम्हारा कर के

एक चिंगारी नज़र आई थी बस्ती में उसे
वो अलग हट गया आँधी को इशारा कर के

आसमानों की तरफ़ फेंक दिया है मैं ने
चंद मिट्टी के चराग़ों को सितारा कर के

मैं वो दरिया हूँ कि हर बूँद भँवर है जिस की
तुम ने अच्छा ही किया मुझ से किनारा कर के

मुंतज़िर हूँ कि सितारों की ज़रा आँख लगे
चाँद को छत पुर बुला लूँगा इशारा कर के
Read Full
Rahat Indori
vo to khush-boo hai hawaon mein bikhar jaayega
mas'ala phool ka hai phool kidhar jaayega

hum to samjhe the ki ik zakham hai bhar jaayega
kya khabar thi ki rag-e-jaan mein utar jaayega

vo hawaon ki tarah khaana-b-jan firta hai
ek jhonka hai jo aayega guzar jaayega

vo jab aayega to phir us ki rifaqat ke liye
mausam-e-gul mere aangan mein thehar jaayega

aakhirsh vo bhi kahi ret pe baithi hogi
tera ye pyaar bhi dariya hai utar jaayega

mujh ko tahzeeb ke barzakh ka banaya waaris
jurm ye bhi mere ajdaad ke sar jaayega
वो तो ख़ुश-बू है हवाओं में बिखर जाएगा
मसअला फूल का है फूल किधर जाएगा

हम तो समझे थे कि इक ज़ख़्म है भर जाएगा
क्या ख़बर थी कि रग-ए-जाँ में उतर जाएगा

वो हवाओं की तरह ख़ाना-ब-जाँ फिरता है
एक झोंका है जो आएगा गुज़र जाएगा

वो जब आएगा तो फिर उस की रिफ़ाक़त के लिए
मौसम-ए-गुल मिरे आँगन में ठहर जाएगा

आख़िरश वो भी कहीं रेत पे बैठी होगी
तेरा ये प्यार भी दरिया है उतर जाएगा

मुझ को तहज़ीब के बर्ज़ख़ का बनाया वारिस
जुर्म ये भी मिरे अज्दाद के सर जाएगा
Read Full
Parveen Shakir
kaun-si baat kahaan kaise kahi jaati hai
ye saleeqa ho to har baat sooni jaati hai

jaisa chaaha tha tujhe dekh na paaye duniya
dil mein bas ek ye hasrat hi rahi jaati hai

ek bigdi hui aulaad bhala kya jaane
kaise maa-baap ke honthon se hasi jaati hai

karz ka bojh uthaaye hue chalne ka azaab
jaise sar par koi deewaar giri jaati hai

apni pehchaan mita dena ho jaise sab kuch
jo nadi hai vo samandar se mili jaati hai

poochna hai to ghazal waalon se poocho jaakar
kaise har baat saleeke se kahi jaati hai
कौन-सी बात कहाँ, कैसे कही जाती है
ये सलीक़ा हो, तो हर बात सुनी जाती है

जैसा चाहा था तुझे, देख न पाये दुनिया
दिल में बस एक ये हसरत ही रही जाती है

एक बिगड़ी हुई औलाद भला क्या जाने
कैसे माँ-बाप के होंठों से हँसी जाती है

कर्ज़ का बोझ उठाये हुए चलने का अज़ाब
जैसे सर पर कोई दीवार गिरी जाती है

अपनी पहचान मिटा देना हो जैसे सब कुछ
जो नदी है वो समंदर से मिली जाती है

पूछना है तो ग़ज़ल वालों से पूछो जाकर
कैसे हर बात सलीक़े से कही जाती है
Read Full
Waseem Barelvi
aaine ka saath pyaara tha kabhi
ek chehre par guzaara tha kabhi

aaj sab kahte hain jis ko nakhuda
hum ne us ko paar utaara tha kabhi

ye mere ghar ki fazaa ko kiya hua
kab yahan mera tumhaara tha kabhi

tha magar sab kuch na tha dariya ke paar
is kinaare bhi kinaara tha kabhi

kaise tukdon mein use kar luun qubool
jo mera saare ka saara tha kabhi

aaj kitne gham hain rone ke liye
ik tire dukh ka sahaara tha kabhi

justuju itni bhi be-ma'ni na thi
manzilon ne bhi pukaara tha kabhi

ye naye gumraah kya jaanen mujhe
main safar ka isti'aara tha kabhi

ishq ke qisse na chhedo dosto
main isee maidaan mein haara tha kabhi
आइने का साथ प्यारा था कभी
एक चेहरे पर गुज़ारा था कभी

आज सब कहते हैं जिस को नाख़ुदा
हम ने उस को पार उतारा था कभी

ये मिरे घर की फ़ज़ा को किया हुआ
कब यहाँ मेरा तुम्हारा था कभी

था मगर सब कुछ न था दरिया के पार
इस किनारे भी किनारा था कभी

कैसे टुकड़ों में उसे कर लूँ क़ुबूल
जो मिरा सारे का सारा था कभी

आज कितने ग़म हैं रोने के लिए
इक तिरे दुख का सहारा था कभी

जुस्तुजू इतनी भी बे-मा'नी न थी
मंज़िलों ने भी पुकारा था कभी

ये नए गुमराह क्या जानें मुझे
मैं सफ़र का इस्तिआ'रा था कभी

इश्क़ के क़िस्से न छेड़ो दोस्तो
मैं इसी मैदाँ में हारा था कभी
Read Full
Shariq Kaifi

LOAD MORE

How's your Mood?

Latest Blog