Top 210+

Tasweer Shayari

Here is a curated collection of Tasweer shayari in Hindi. You can download HD images of all the Tasweer shayari on this page. These Tasweer Shayari images can also be used as Instagram posts and whatsapp statuses. Start reading now and enjoy.

Paginated list of Tasweer Shayari. Click on Load more once you reach the end of list to keep reading more content. You can also tap on Sort button below to choose your selection from popular or latest Tasweer shayari in Hindi and English. Enjoy reading!

ab us jaanib se is kasrat se tohfe aa rahe hain
ke ghar mein hum nayi almaariyaan banwa rahe hain

hame milna to in aabaadiyon se door milna
usse kehna gaye waktuu mein hum dariya rahe hain

tujhe kis kis jagah par apne andar se nikaalen
hum is tasveer mein bhi tuujhse mil ke aa rahe hain

hazaaron log usko chahte honge humein kya
ke hum us geet mein se apna hissa ga rahe hain

bure mausam ki koi had nahin tahzeeb haafi
fiza aayi hai aur pinjaron mein par murjha rahe hain
अब उस जानिब से इस कसरत से तोहफे आ रहे हैं
के घर में हम नई अलमारियाँ बनवा रहे हैं।

हमे मिलना तो इन आबादियों से दूर मिलना
उससे कहना गए वक्तू में हम दरिया रहे हैं।

तुझे किस किस जगह पर अपने अंदर से निकालें
हम इस तस्वीर में भी तूझसे मिल के आ रहे हैं।

हजारों लोग उसको चाहते होंगे हमें क्या
के हम उस गीत में से अपना हिस्सा गा रहे हैं।

बुरे मौसम की कोई हद नहीं तहजीब हाफी
फिजा आई है और पिंजरों में पर मुरझा रहे हैं।
Read Full
Tehzeeb Hafi
ye shayari ye mere seene mein dabii hui aag
bhadak uthegi kabhi meri jama ki hui aag

main choo raha hoon tera jism khwaab ke andar
bujha raha hoon main tasveer mein lagi hui aag

khijaan mein door rakho maachiso ko jungle se
dikhaai deti nahin ped mein chhupi hui aag

main kaatta hoon abhi tak wahi kate hue lafz
main taapta hoon abhi tak wahi bujhi hui aag

yahi diya tujhe pehli nazar mein bhaaya tha
khareed laaya main teri pasand ki hui aag

ek umr se jal bujh raha hoon inke sabab
tera bacha hua paani teri bachi hui aag
ये शायरी ये मेरे सीने में दबी हुई आग
भड़क उठेगी कभी मेरी जमा की हुई आग

मैं छू रहा हूं तेरा जिस्म ख्वाब के अंदर
बुझा रहा हूं मैं तस्वीर में लगी हुई आग

खिजां में दूर रखो माचिसो को जंगल से
दिखाई देती नहीं पेड़ में छुपी हुई आग

मैं काटता हूं अभी तक वही कटे हुए लफ्ज़
मैं तापता हूं अभी तक वही बुझी हुई आग

यही दिया तुझे पहली नजर में भाया था
खरीद लाया मैं तेरी पसंद की हुई आग

एक उम्र से जल बूझ रहा हूं इनके सबब
तेरा बचा हुआ पानी तेरी बची हुई आग
Read Full
Tehzeeb Hafi
lamha dar lamha teri raah taka karti hai
ek khidki teri aamad ki dua karti hai

ek sofa hai jise teri zaroorat hai bahot
ek kursi hai jo mayus raha karti hai

salvaten cheekhti rahti hain mere bistar par
karvaton mein hi meri raat kata karti hai

waqt tham jaata hai ab raat guzarti hi nahin
jaane deewaar ghadi raat mein kya karti hai

chaand khidki mein jo aata tha nahin aata ab
teergi chaaro taraf rak's kiya karti hai

mere kamre mein udaasi hai qayamat ki magar
ek tasveer puraani si hansa karti hai
लम्हा दर लम्हा तेरी राह तका करती है
एक खिड़की तेरी आमद की दुआ करती है

एक सोफ़ा है जिसे तेरी ज़रूरत है बहोत
एक कुर्सी है जो मायूस रहा करती है

सलवटें चीखती रहती हैं मिरे बिस्तर पर
करवटों में ही मेरी रात कटा करती है

वक़्त थम जाता है अब रात गुज़रती ही नहीं
जाने दीवार घड़ी रात में क्या करती है

चाँद खिड़की में जो आता था नहीं आता अब
तीरगी चारो तरफ़ रक़्स किया करती है

मेरे कमरे में उदासी है क़यामत की मगर
एक तस्वीर पुरानी सी हँसा करती है
Read Full
Abbas Qamar
jahaan saare hawa banne ki koshish kar rahe the
wahan bhi hum diya banne ki koshish kar rahe the

humein zor-e-tasavvur bhi ganwaana pad gaya hum
tasavvur mein khuda banne ki koshish kar rahe the

zameen par aa gire jab aasmaan se khwaab mere
zameen ne poocha kya banne ki koshish kar rahe the

unhen aankhon ne bedardi se be-ghar kar diya hai
ye aansu qahqaha banne ki koshish kar rahe the

humein dushwaariyon mein muskuraane ki talab thi
hum ik tasveer sa banne ki koshish kar rahe the
जहाँ सारे हवा बनने की कोशिश कर रहे थे
वहाँ भी हम दिया बनने की कोशिश कर रहे थे

हमें ज़ोर-ए-तसव्वुर भी गँवाना पड़ गया हम
तसव्वुर में ख़ुदा बनने की कोशिश कर रहे थे

ज़मीं पर आ गिरे जब आसमाँ से ख़्वाब मेरे
ज़मीं ने पूछा क्या बनने की कोशिश कर रहे थे

उन्हें आँखों ने बेदर्दी से बे-घर कर दिया है
ये आँसू क़हक़हा बनने की कोशिश कर रहे थे

हमें दुश्वारियों में मुस्कुराने की तलब थी
हम इक तस्वीर सा बनने की कोशिश कर रहे थे
Read Full
Abbas Qamar

LOAD MORE

How's your Mood?

Latest Blog