ahbaab mera kitna ziyaada badal gaya
tu poochta hai mujh se bhala kya badal gaya
ab tu tadaak karta hai woh baat baat par
ab us ke baat cheet ka lahja badal gaya
qurbat mein us ke achhe se achhe badal gaye
jo main bhi us ke paas ja baitha badal gaya
pehle to saath rahne ki haami bahut bhari
phir ek roz us ka iraada badal gaya
leila badal gai to gai saath saath hi
majnoon badal gaya ye zamaana badal gaya
tasveer arse baad badalti hai sabr rakh
aisa nahin na hota ki socha badal gaya
अहबाब मेरा कितना ज़ियादा बदल गया
तू पूछता है मुझ से भला क्या बदल गया
अब तू तड़ाक करता है वह बात बात पर
अब उस के बात चीत का लहजा बदल गया
क़ुर्बत में उस के अच्छे से अच्छे बदल गए
जो मैं भी उस के पास जा बैठा बदल गया
पहले तो साथ रहने की हामी बहुत भरी
फिर एक रोज़ उस का इरादा बदल गया
लैला बदल गई तो गई साथ साथ ही
मजनूँ बदल गया ये ज़माना बदल गया
तस्वीर अर्से बाद बदलती है सब्र रख
ऐसा नहीं न होता कि सोचा बदल गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by shaan manral
our suggestion based on shaan manral
As you were reading Irada Shayari Shayari