us khuda kii shaan ke qisse niraale ho gaye
raat kii aaghosh mein din ke ujaale ho gaye
kal talak jo log rahte the khudaaon kii tarah
maut aayi to vo mitti ke hawaale ho gaye
ho gaye khush is tarah se uska message dekh kar
jaise bhookhe ko mayassar do nivaale ho gaye
maut kii jaanib uchaaloon phir tujhe ai zindagi
kitne barson us taraf tujhko uchaale ho gaye
itni ghazlein hijr mein uske likhi rehmaan ne
uski yaadon se mukammal do risaale ho gaye
उस ख़ुदा की शान के क़िस्से निराले हो गए
रात की आग़ोश में दिन के उजाले हो गए
कल तलक जो लोग रहते थे ख़ुदाओं की तरह
मौत आई तो वो मिट्टी के हवाले हो गए
हो गए ख़ुश इस तरह से उसका मैसेज देख कर
जैसे भूखे को मयस्सर दो निवाले हो गए
मौत की जानिब उछालूँ फिर तुझे ऐ ज़िंदगी
कितने बरसों उस तरफ़ तुझको उछाले हो गए
इतनी ग़ज़लें हिज्र में उसके लिखी 'रहमान' ने
उसकी यादों से मुकम्मल दो रिसाले हो गए
As you were reading Shayari by Rahman Vaahid
our suggestion based on Rahman Vaahid
As you were reading undefined Shayari