Best

Poverty Shayari

Here is a curated collection of Poverty shayari in Hindi. You can download HD images of all the Poverty shayari on this page. These Poverty Shayari images can also be used as Instagram posts and whatsapp statuses. Start reading now and enjoy.

tazurba ye hua hai zindagi mein
na hota koi apna muflisi mein

zubaan zakhmon ko mere mil gai hai
unhen shaamil kiya jab shayari mein

gazab ka dil banaya hai khuda ne
chhalk padte hain aansu bhi khushi mein

khushi ka ek lamha keemati hai
hazaaron gham hain lekin zindagi mein

bura hoon main mujhe achha kaha hai
sharaabi ne yaqeenan bekhudi mein

mujhe hansta hua dekha to kahte vo
koi to baat hai is aadmi mein

mere rab mujhko ye taufeeq de de
rahoon hansta sada gham aur khushi mein
तज़ुर्बा ये हुआ है ज़िन्दगी में
न होता कोई अपना मुफ़लिसी में

ज़ुबाँ ज़ख़्मों को मेरे मिल गई है
उन्हें शामिल किया जब शायरी में

गज़ब का दिल बनाया है ख़ुदा ने
छलक पड़ते हैं आँसू भी ख़ुशी में

ख़ुशी का एक लम्हा कीमती है
हज़ारों ग़म हैं लेकिन ज़िन्दगी में

बुरा हूँ मैं मुझे अच्छा कहा है
शराबी ने यक़ीनन बेख़ुदी में

मुझे हँसता हुआ देखा तो कहते वो
कोई तो बात है इस आदमी में

मेरे रब मुझको ये तौफ़ीक़ दे दे
रहूँ हँसता सदा ग़म और ख़ुशी में
Read Full
Dharamraj deshraj