gareeb gham ke gaya hi nahin qareeb talak
ghamon ke saath mein gham aaye gham naseeb talak
gaya tha ishq mein laila ke qais dasht-e-junoon
tira ye ishq mujhe le gaya saleeb talak
libas-e-hijr hua dil ke jism kii zeenat
libaas dekh lo aa hi gaya gareeb talak
tadap raha hai ye dil kha ke teer furqat ka
utha ke le chalo koii ise tabeeb talak
shajar ne khat yun diya kah ke apne qaasid ko
ye khat hai aakhiri pahuncha dio habeeb talak
ग़रीब ग़म के गया ही नहीं क़रीब तलक
ग़मों के साथ में ग़म आए ग़म नसीब तलक
गया था इश्क़ में लैला के क़ैस दश्त-ए-जुनूँ
तिरा ये इश्क़ मुझे ले गया सलीब तलक
लिबास-ए-हिज्र हुआ दिल के जिस्म की ज़ीनत
लिबास देख लो आ ही गया ग़रीब तलक
तड़प रहा है ये दिल खा के तीर फ़ुर्क़त का
उठा के ले चलो कोई इसे तबीब तलक
शजर ने ख़त यूँ दिया कह के अपने क़ासिद को
ये ख़त है आख़िरी पहुँचा दियो हबीब तलक
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading undefined Shayari