safar mein aise kai marhale bhi aate hain
har ek mod pe kuchh log chhoot jaate hain
ye jaan kar bhi ki patthar har ek haath mein hai
jiyaale log hain sheeshon ke ghar banaate hain
jo rahne waale hain log un ko ghar nahin dete
jo rahne waala nahin us ke ghar banaate hain
jinhen ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
kabhi jo baat kahi thi tire ta'alluq se
ab us ke bhi kai matlab nikale jaate hain
सफ़र में ऐसे कई मरहले भी आते हैं
हर एक मोड़ पे कुछ लोग छूट जाते हैं
ये जान कर भी कि पत्थर हर एक हाथ में है
जियाले लोग हैं शीशों के घर बनाते हैं
जो रहने वाले हैं लोग उन को घर नहीं देते
जो रहने वाला नहीं उस के घर बनाते हैं
जिन्हें ये फ़िक्र नहीं सर रहे रहे न रहे
वो सच ही कहते हैं जब बोलने पे आते हैं
कभी जो बात कही थी तिरे तअ'ल्लुक़ से
अब उस के भी कई मतलब निकाले जाते हैं
As you were reading Shayari by Aabid Adeeb
our suggestion based on Aabid Adeeb
As you were reading undefined Shayari