ye waqiya mere liye behad ajeeb tha
har shakhs door ho gaya jo jo qareeb tha
ilzaam doon kise main hamaari judaai ka
vo bewafa nahin tha magar main gareeb tha
usko bhi ishq tha p kisi aur ladke se
jo dost tha mera wahi mera raqeeb tha
main bad-naseeb tere gale bhi na lag saka
jo soya teri baanhon mein vo khush-naseeb tha
daulat ke maamle mein vo raja se kam nahin
dil se magar vo aadmi behad gareeb tha
usne mere ghamand ko phir choor kar diya
mujhko ye lagta tha ki faqat main arib tha
ये वाक़िया मेरे लिए बेहद अजीब था
हर शख़्स दूर हो गया जो जो क़रीब था
इलज़ाम दूँ किसे मैं हमारी जुदाई का
वो बेवफ़ा नहीं था मगर मैं ग़रीब था
उसको भी इश्क़ था प किसी और लड़के से
जो दोस्त था मेरा वही मेरा रक़ीब था
मैं बद-नसीब तेरे गले भी न लग सका
जो सोया तेरी बाँहों में वो ख़ुश-नसीब था
दौलत के मामले में वो राजा से कम नहीं
दिल से मगर वो आदमी बेहद ग़रीब था
उसने मेरे घमंड को फिर चूर कर दिया
मुझको ये लगता था कि फ़क़त मैं अरीब था
As you were reading Shayari by Daqiiq Jabaali
our suggestion based on Daqiiq Jabaali
As you were reading undefined Shayari