sabse behtar vo chehra dikha tha mujhe
gair ho ke bhi apna dikha tha mujhe
ek bhi phool se khush nahin hota tha
vo samandar se gahra dikha tha mujhe
jism kii khushboo bhi deti bakshish mein par
aankhon mein hi bahaana dikha tha mujhe
aasmaan mein jo hota hai kos-e-kuzaah
theek waisa sunhara dikha tha mujhe
koii kehne ko apna nahin tha idhar
ek mera hi saaya dikha tha mujhe
zindagi mein usi ka hi hai ikhtiyaar
isliye aaj nakhra dikha tha mujhe
itna masool hona bhi achha nahin
uljha sa ik parinda dikha tha mujhe
aasmaan kii taraf kyun main dekhoon bhala
neeli aankhon mein taara dikha tha mujhe
dil ke baare mein kya kya bataaun anuj
kal samandar mein sehra dikha tha mujhe
सबसे बेहतर वो चेहरा दिखा था मुझे
ग़ैर हो के भी अपना दिखा था मुझे
एक भी फूल से ख़ुश नहीं होता था
वो समंदर से गहरा दिखा था मुझे
जिस्म की ख़ुश्बू भी देती बख़्शिश में पर
आँखों में ही बहाना दिखा था मुझे
आसमाँ में जो होता है कोस-ए-कुज़ाह
ठीक वैसा सुनहरा दिखा था मुझे
कोई कहने को अपना नहीं था इधर
एक मेरा ही साया दिखा था मुझे
ज़िंदगी में उसी का ही है इख़्तियार
इसलिए आज नख़रा दिखा था मुझे
इतना मसऊल होना भी अच्छा नहीं
उलझा सा इक परिंदा दिखा था मुझे
आसमाँ की तरफ़ क्यूँ मैं देखूँ भला
नीली आँखों में तारा दिखा था मुझे
दिल के बारे में क्या क्या बताऊॅं 'अनुज'
कल समंदर में सहरा दिखा था मुझे
As you were reading Shayari by Anuraag 'Anuj' Pathak
our suggestion based on Anuraag 'Anuj' Pathak
As you were reading undefined Shayari