rang laati hai ghazal mein naye har baar radeef | रंग लाती है ग़ज़ल में नए हर बार रदीफ़

  - A R Sahil "Aleeg"

rang laati hai ghazal mein naye har baar radeef
dhoondhta firta hoon har-soo main nayi chaar radeef

yun sitam sahte rahenge jo ye ashaar mere
aap ho jaayegi khud dekhna talwaar radeef

is tarah baandhi hai is daur mein kuchh logon ne
baarha bandhte hue ho gai azaar radeef

zehan mein roz ubharte hain hazaaron mazmoon
maangte rahte hain har roz hi ashaar radeef

ek to sher mere hote hain halke fulke
aur phir us pe sitam dhaati hai beemaar radeef

doosron kii na karein aap zameen istemaal
khoj ke laaya karein koii to damdaar radeef

jaane kya baat hai bandhti hi nahin hai saahil
karne lagti hai qawaafi se hi taqraar radeef

रंग लाती है ग़ज़ल में नए हर बार रदीफ़
ढूँढता फिरता हूँ हर-सू मैं नई चार रदीफ़

यूँ सितम सहते रहेंगे जो ये अशआर मेरे
आप हो जाएगी ख़ुद देखना तलवार रदीफ़

इस तरह बाँधी है इस दौर में कुछ लोगों ने
बारहा बँधते हुए हो गई आज़ार रदीफ़

ज़ेहन में रोज़ उभरते हैं हज़ारों मज़मून
माँगते रहते हैं हर रोज़ ही अशआर रदीफ़

एक तो शेर मेरे होते हैं हल्के फुल्के
और फिर उस पे सितम ढाती है बीमार रदीफ़

दूसरों की न करें आप ज़मीं इस्तेमाल
खोज के लाया करें कोई तो दमदार रदीफ़

जाने क्या बात है बँधती ही नहीं है 'साहिल'
करने लगती है क़वाफ़ी से ही तक़रार रदीफ़

  - A R Sahil "Aleeg"

More by A R Sahil "Aleeg"

As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"

Similar Writers

our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari