Meaning of

aamad

आमद • آمد

arrival; advent; inspiration

आगमन; आगाज़; प्रेरणा

آمد; آغاز; تحریک

Arabic

gareebi kabhi kad nahin dekhti hai
ye rishton kii bhi gad nahin dekhti hai

zamaana sikha deta hai sab yahaañ to
ye nazarein yuñ aamad nahin dekhti hai

2

Download Image

ishq agar badhta hai to phir jhagde bhi to badhte hain
aamdani jab badhti hai to kharche bhi to badhte hain

maana manzil nahin mili hai hamko lekin khandhar
ek qadam uski jaanib ham aage bhi to badhte hain

73

Download Image

har ek chaukhat khulii hui thii har ik dareecha khula hua tha
ki uski aamad pe dar yahaañ tak ki begharon ka khula hua tha

ye teri hamm ne ha
men hi uljhan men daal rakha hai varna ham par
tamaam science ke falsafon ka har ek chittha khula hua tha

32

Download Image

sharaab kheenchi hai sab ne gareeb ke khun se
tu ab ameer ke khun se sharaab paida kar

26

Download Image

sabr par dil ko to aamada kiya hai lekin
hosh ud jaate hain ab bhi teri awaaz ke saath

15

Download Image

likhne ko aamada hai kya
ye bhi koi vaa'da hai kya

phoolon ke sang dard diye
bol teraa iraada hai kya

7

Download Image

sapne ga.e sukoon bhi ulfat chali gaii
milne ki apne aap se furqat chali gaii

meri to bolne ki hi aadat chali gaii
tere hi saath saari sharaarat chali gaii

khushiyaan theen usse ghar men theen aangan men raunakein
bitiya ke saath ghar ki bhi barkat chali gaii

chhoota tumhaara saath to baaki hi kya bacha
dil men jo pal rahi thii vo hasrat chali gaii

aate nahin faqeer na sail bhi aajkal
maa kya gaii ki ghar ki rivaayat chali gaii

mere sukhun pe tune uthaayein jo ungaliyaan
meri tamaam umr ki mehnat chali gaii

yoon bhi kabhi jahaan men ifraat men na thii
thodii bahut thii vo bhi sadaqat chali gaii

hoti nahin hai she'r ki aamad bhi ab nazar
tum kya ga.e ki lafz ki taqat chali gaii

3

Download Image

vo aamada hai rishta tod dene par
chalo jhoothi daleelen maan lete hain

2

Download Image

meraa darwaaza khula rah gaya jin ki khaatir
un ki aamad na hui meraa ishaara na hua

2

Download Image

khaas itni hai nahin aamad tumhaari
phir hamaare dil ki dhadkan kyun badhi tab

2

Download Image

gareebi kabhi kad nahin dekhti hai
ye rishton kii bhi gad nahin dekhti hai

zamaana sikha deta hai sab yahaañ to
ye nazarein yuñ aamad nahin dekhti hai

2

Download Image

ishq agar badhta hai to phir jhagde bhi to badhte hain
aamdani jab badhti hai to kharche bhi to badhte hain

maana manzil nahin mili hai hamko lekin khandhar
ek qadam uski jaanib ham aage bhi to badhte hain

73

Download Image

The word 'aamad' evokes the gentle arrival of something significant, a moment when the ordinary is touched by the extraordinary. In poetry, it often symbolizes the arrival of inspiration or a beloved, marking a transition from silence to expression.

Poets use 'aamad' to signify the onset of inspiration. It can denote the arrival of spring, a new idea, or a lover. The word contrasts with 'rafat', which suggests departure.

In its essence, 'aamad' captures the beauty of beginnings. It is a gentle reminder of the power of arrival.