ik din guzra phir se kaar-guzaari mein | इक दिन गुज़रा फिर से कार-गुज़ारी में - SAFEER RAY

ik din guzra phir se kaar-guzaari mein
hamne khud ko khud paaya ayyaari mein

bheed bhare baagon mein dar to lagta hai
kuchh paudhe rope hain dil kii kyaari mein

baam-e-dar par ek nishaani latki hai
us par tera naam likha hoshiyaari mein

aankhon se tezaab ubalta rehta hai
ashkon se khud ko hai jalaya yaari mein

rishte zakhamon se sangeet nichoda hai
gham likhte hain ham ab yun laykaari mein

इक दिन गुज़रा फिर से कार-गुज़ारी में
हमने ख़ुद को ख़ुद पाया अय्यारी में

भीड़ भरे बाग़ों में डर तो लगता है
कुछ पौधे रोपे हैं दिल की क्यारी में

बाम-ए-दर पर एक निशानी लटकी है
उस पर तेरा नाम लिखा होशियारी में

आँखों से तेज़ाब उबलता रहता है
अश्कों से ख़ुद को है जलाया यारी में

रिसते ज़ख्मों से संगीत निचोड़ा है
ग़म लिखते हैं हम अब यूँ लयकारी में

- SAFEER RAY
10 Likes

More by SAFEER RAY

As you were reading Shayari by SAFEER RAY

Similar Writers

our suggestion based on SAFEER RAY

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari