jiya mera hi pukaare kise bataaun main
wafa nibha na saki kaise bhool jaaun main
safar junoon se hi tha isiliye shaayad
mere sanam na hue vo kise bataaun main
haseen jawaan dilon kii vo dhadkane saari
tiri tarah vo mujhe hai lage sunaau main
rah-e-wafa se kahaan hi chali safar mein mai
malaal khoob usi ka hua chhupaau main
kabhi dikhe na dikhe ishq kii gali mein jo
wafaa-shanaas dikhe to gali bataaun main
kali khili na khili phir kali mehkati hai
usi mahak se kabhi kyun na muskuraau'n main
charaagh but mein shab-o-roz sab jalaati hoon
isiliye hi manohar diye banaaun main
जिया मिरा ही पुकारे किसे बताऊँ मैं
वफ़ा निभा न सकी कैसे भूल जाऊँ मैं
सफ़र जुनून से ही था इसीलिए शायद
मिरे सनम न हुए वो किसे बताऊँ मैं
हसीं जवान दिलों की वो धड़कनें सारी
तिरी तरह वो मुझे है लगे सुनाऊँ मैं
रह-ए-वफ़ा से कहाँ ही चली सफ़र में मै
मलाल ख़ूब उसी का हुआ छुपाऊँ मैं
कभी दिखे न दिखे इश्क़ की गली में जो
वफ़ा-शनास दिखे तो गली बताऊँ मैं
कली खिली न खिली फिर कली महकती है
उसी महक से कभी क्यों न मुस्कुराऊँ मैं
चराग़ बुत में शब-ओ-रोज़ सब जलाती हूँ
इसीलिए ही 'मनोहर' दिए बनाऊँ मैं
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading undefined Shayari