mushkilon se hi bhare the din vo saare | मुश्किलों से ही भरे थे दिन वो सारे

  - Manohar Shimpi

mushkilon se hi bhare the din vo saare
naa-khuda banke humeen aaye kinaare

umr bhar ka saath ab hota nahin hai
aaj rehta kaun hai kiske sahaare

husn ke bhi rang ab rangeen hote
dekhne se hi haseen dikhte nazare

kaun apna kaun phir tha hi paraaya
saath mein the vo hue kab hi hamaare

ai muhabbat mushkilon ka hi safar hai
ishq kaise phir rahe aasaan pyaare

aasmaan mein gard udti hai manohar
isliye khote bhatkte hain sitaare

मुश्किलों से ही भरे थे दिन वो सारे
ना-ख़ुदा बनके हमीं आए किनारे

उम्र भर का साथ अब होता नहीं है
आज रहता कौन है किसके सहारे

हुस्न के भी रंग अब रंगीन होते
देखने से ही हसीं दिखते नज़ारे

कौन अपना कौन फिर था ही पराया
साथ में थे वो हुए कब ही हमारे

ऐ मुहब्बत मुश्किलों का ही सफ़र है
इश्क़ कैसे फिर रहे आसान प्यारे

आसमाँ में गर्द उड़ती है 'मनोहर'
इसलिए खोते भटकते हैं सितारे

  - Manohar Shimpi

Ishq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading Ishq Shayari Shayari