nigah-e-karam se qayaamat lage hai
nazar se bala kii tilaawat lage hai
pata jab safar mein nahin humsafar ka
mile dafatan to haqeeqat lage hai
fazaa mein mahak jab tere husn se hai
bala kii lage vo nazaakat lage hai
kisi ke liye ho sake hai vo karna
sahi mein khuda kii inaayat lage hai
kabhi kashmakash mein bada farq hota
use dekhte tab riyaazat lage hai
koii vaasta kyun rahe dushmani ka
agar vo na hota rafaqat lage hai
iraade manohar agar nek hai to
khuda kii koii ye basaarat lage hai
निगाह-ए-करम से क़यामत लगे है
नज़र से बला की तलावत लगे है
पता जब सफ़र में नहीं हमसफ़र का
मिले दफ़अतन तो हक़ीक़त लगे है
फ़ज़ा में महक जब तेरे हुस्न से है
बला की लगे वो नज़ाकत लगे है
किसी के लिए हो सके है वो करना
सही में ख़ुदा की इनायत लगे है
कभी कश्मकश में बड़ा फ़र्क होता
उसे देखते तब रियाज़त लगे है
कोई वास्ता क्यूँ रहे दुश्मनी का
अगर वो न होता रफ़ाक़त लगे है
इरादे 'मनोहर' अगर नेक है तो
ख़ुदा की कोई ये बसारत लगे है
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading undefined Shayari