jang ke mas'aloon se rahe door kyun | जंग के मस'अलों से रहे दूर क्यूँ - Manohar Shimpi

jang ke mas'aloon se rahe door kyun
mulk hota usi se koii choor kyun

kaam karte galat hi iraade se jo
log aise hue khoob mashhoor kyun

shakl to hai nahin ilm se door hai
shakhs koii lage phir vo maghroor kyun

hijr mein faasle jab dikhe hi nahin
hum-nasheen phir rahe hai bahut door kyun

jab muhabbat hui hi nahin hai mujhe
dil-lagi ke siva aankh ka noor kyun

जंग के मस'अलों से रहे दूर क्यूँ
मुल्क होता उसी से कोई चूर क्यूँ

काम करते ग़लत ही इरादे से जो
लोग ऐसे हुए ख़ूब मशहूर क्यूँ

शक्ल तो है नहीं इल्म से दूर है
शख़्स कोई लगे फिर वो मग़रूर क्यूँ

हिज्र में फ़ासले जब दिखे ही नहीं
हम-नशीं फिर रहे है बहुत दूर क्यूँ

जब मुहब्बत हुई ही नहीं है मुझे
दिल-लगी के सिवा आँख का नूर क्यूँ

- Manohar Shimpi
1 Like

Dushmani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading Dushmani Shayari Shayari