humsafar kyun is qadar aankhe bhigone ka
waqt to lagta na rishton mein pirone ka
aag se hain khoob khele is safar mein ham
dard hota hai hamein gumraah hone ka
hijr mein jab bhi khilish hi sakht hoti hai
tab samajhna waqt aaya ek hone ka
phool khilte hain bikhar jaate yahan par hi
waqt ye hai ishq ke phir beej bone ka
khwaab tera dekhna ik zakham hi to hai
ishq hai to dard hoga daag dhone ka
ye udaasi ab na achhi roz lagti hai
jab kabhi gham ho akela khoob rone ka
हमसफ़र क्यों इस क़दर आँखे भिगोने का
वक़्त तो लगता न रिश्तों में पिरोने का
आग से हैं ख़ूब खेले इस सफ़र में हम
दर्द होता है हमें गुमराह होने का
हिज्र में जब भी ख़लिश ही सख़्त होती है
तब समझना वक़्त आया एक होने का
फूल खिलते हैं बिखर जाते यहाँ पर ही
वक़्त ये है इश्क़ के फिर बीज बोने का
ख़्वाब तेरा देखना इक ज़ख़्म ही तो है
इश्क़ है तो दर्द होगा दाग़ धोने का
ये उदासी अब न अच्छी रोज़ लगती है
जब कभी ग़म हो अकेले ख़ूब रोने का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading One sided love Shayari Shayari