maangne se bhi rab nahin deta
phir tijaarat se kab nahin deta
koii bhi imtihaan ho yaaron
seekhne ko sabab nahin deta
aql ya shakl ka kahe kya hi
bewafa ko adab nahin deta
haan tablaachi kai yahan dekhe
har kisi ko zarb nahin deta
zindagi to naseeb se milti
phir jiye kaise dhab nahin deta
मांँगने से भी रब नहीं देता
फिर तिजारत से कब नहीं देता
कोई भी इम्तिहान हो यारों
सीखने को सबब नहीं देता
अक़्ल या शक्ल का कहे क्या ही
बेवफ़ा को अदब नहीं देता
हाँ तबलची कई यहाँ देखे
हर किसी को ज़रब नहीं देता
ज़िंदगी तो नसीब से मिलती
फिर जिए कैसे ढब नहीं देता
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading undefined Shayari