Best

Hausla Shayari

If someone looking for motivation, then Husla Shayari is the way to go. This page contains everything you need whether it is Hausla shayari in Hindi, Hausla quotes on beautiful pictures or the Hausla shayari whatsapp status.

main bhatkata hi raha dasht-e-shanaasaai mein
koi utara hi nahin rooh ki gehraai mein

kya milaaya hai bata jaam-e-paziraai mein
khoob nashsha hai teri hausla-afzaai mein

teri yaadon ki sui prem ka dhaaga mera
kaam aaye hain bahut zakhamon ki turpaai mein

das rahi hai ye siyah-raat ki naagin mujhko
bhar rahi zahr-e-khamoshi rag-e-tanhaai mein

surma-e-makr-o-fareb aankhon mein jab se hai laga
tab se hai khoob izafa had-e-beenaai mein

fikr-o-fan rang-e-taghazzul na ghazal ki khushboo
bas laga rehta hoon main qaafiya-paimaai mein

seekh paani se hunar kaam anees aayega
daud kar khud hi chala aata hai gehraai mein
मैं भटकता ही रहा दश्त-ए-शनासाई में
कोई उतरा ही नहीं रूह की गहराई में

क्या मिलाया है बता जाम-ए-पज़ीराई में
ख़ूब नश्शा है तेरी हौसला-अफ़जाई में

तेरी यादों की सुई, प्रेम का धागा मेरा
काम आए हैं बहुत ज़ख़्मों की तुरपाई में

डस रही है ये सियह-रात की नागिन मुझको
भर रही ज़हर-ए-ख़मोशी, रग-ए-तन्हाई में

सुर्मा-ए-मक्र-ओ-फ़रेब आँखों में जब से है लगा
तब से है ख़ूब इज़ाफ़ा हद-ए-बीनाई में

फ़िक्र-ओ-फ़न, रंग-ए-तग़ज़्ज़ुल, न ग़ज़ल की ख़ुशबू
बस लगा रहता हूँ मैं क़ाफ़िया-पैमाई में

सीख पानी से हुनर काम 'अनीस' आएगा
दौड़ कर ख़ुद ही चला आता है गहराई में
Read Full
Anis shah anis
hua dil kisi pe fida rafta rafta
chala pyaar ka silsila rafta rafta

muhabbat ki baatein tumhein kya bataayein
muhabbat se sab kuchh mila rafta rafta

khushi aaj mujhko mili hai jahaan ki
gamon ka andhera mita rafta rafta

yaqeenan idhar aayegi aaj khushboo
chali phir se baade saba raf'ta raf'ta

rachi jisne saazish girane ki mujhko
wahi mujhko girta dikha rafta rafta

buzurgon ki seva karein jo jatan se
mile unki jag mein dua rafta rafta

kathin raah par hausla saath ho to
mile manzilon ka pata rafta rafta

kamal mujhko toofan dara paayenge kya
safar par safeena chala rafta rafta
हुआ दिल किसी पे फ़िदा रफ़्ता- रफ़्ता
चला प्यार का सिलसिला रफ़्ता- रफ़्ता

मुहब्बत की बातें तुम्हें क्या बताएँ
मुहब्बत से सब कुछ मिला रफ़्ता- रफ़्ता

ख़ुशी आज मुझको मिली है जहां की
ग़मों का अँधेरा मिटा रफ़्ता- रफ़्ता

यक़ीनन इधर आएगी आज ख़ुशबू
चली फिर से बादे सबा रफ्ता- रफ्ता

रची जिसने साज़िश गिराने की मुझको
वही मुझको गिरता दिखा रफ़्ता- रफ़्ता

बुज़ुर्गों की सेवा करें जो जतन से
मिले उनकी जग में दुआ रफ़्ता- रफ़्ता

कठिन राह पर हौसला साथ हो तो
मिले मंज़िलों का पता रफ़्ता- रफ़्ता

"कमल" मुझको तूफ़ाँ डरा पाएँगे क्या
सफ़र पर सफ़ीना चला रफ़्ता- रफ़्ता
Read Full
Kamal Kishore Dubey