main bhatkata hi raha dasht-e-shanaasaai mein | मैं भटकता ही रहा दश्त-ए-शनासाई में

  - Anis shah anis

main bhatkata hi raha dasht-e-shanaasaai mein
koi utara hi nahin rooh ki gehraai mein

kya milaaya hai bata jaam-e-paziraai mein
khoob nashsha hai teri hausla-afzaai mein

teri yaadon ki sui prem ka dhaaga mera
kaam aaye hain bahut zakhamon ki turpaai mein

das rahi hai ye siyah-raat ki naagin mujhko
bhar rahi zahr-e-khamoshi rag-e-tanhaai mein

surma-e-makr-o-fareb aankhon mein jab se hai laga
tab se hai khoob izafa had-e-beenaai mein

fikr-o-fan rang-e-taghazzul na ghazal ki khushboo
bas laga rehta hoon main qaafiya-paimaai mein

seekh paani se hunar kaam anees aayega
daud kar khud hi chala aata hai gehraai mein

मैं भटकता ही रहा दश्त-ए-शनासाई में
कोई उतरा ही नहीं रूह की गहराई में

क्या मिलाया है बता जाम-ए-पज़ीराई में
ख़ूब नश्शा है तेरी हौसला-अफ़जाई में

तेरी यादों की सुई, प्रेम का धागा मेरा
काम आए हैं बहुत ज़ख़्मों की तुरपाई में

डस रही है ये सियह-रात की नागिन मुझको
भर रही ज़हर-ए-ख़मोशी, रग-ए-तन्हाई में

सुर्मा-ए-मक्र-ओ-फ़रेब आँखों में जब से है लगा
तब से है ख़ूब इज़ाफ़ा हद-ए-बीनाई में

फ़िक्र-ओ-फ़न, रंग-ए-तग़ज़्ज़ुल, न ग़ज़ल की ख़ुशबू
बस लगा रहता हूँ मैं क़ाफ़िया-पैमाई में

सीख पानी से हुनर काम 'अनीस' आएगा
दौड़ कर ख़ुद ही चला आता है गहराई में

  - Anis shah anis

Ghamand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anis shah anis

As you were reading Shayari by Anis shah anis

Similar Writers

our suggestion based on Anis shah anis

Similar Moods

As you were reading Ghamand Shayari Shayari