chhand se yaad hi nahin hoti
bahar azaad hi nahin hoti
chhedte nazm jab koii phir to
tarz aabaad hi nahin hoti
minnaten jab karein koii walid
phir vo aulaad hi nahin hoti
sirf boondon se bhi kabhi akshar
fasl barbaad hi nahin hoti
chand logon se hi kahaan yaaron
koii taadaad hi nahin hoti
baag bhi todte manohar kyun
gul se fariyaad hi nahin hoti
छंद से याद ही नहीं होती
बहर आज़ाद ही नहीं होती
छेड़ते नज़्म जब कोई फिर तो
तर्ज़ आबाद ही नहीं होती
मिन्नतें जब करें कोई वालिद
फिर वो औलाद ही नहीं होती
सिर्फ़ बूँदों से भी कभी अक्सर
फ़स्ल बर्बाद ही नहीं होती
चंद लोगों से ही कहाँ यारों
कोई तादाद ही नहीं होती
बाग़ भी तोड़ते 'मनोहर' क्यूँ
गुल से फ़रियाद ही नहीं होती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading Father Shayari Shayari