jhooth hai sach ka zamaana hai nahin | झूठ है सच का ज़माना है नहीं

  - Manohar Shimpi

jhooth hai sach ka zamaana hai nahin
sirf duniya ko bataana hai nahin

sirf roothe hi rahoge aap to
aapko kyun phir manana hai nahin

hai ijaazat aur sacchaai agar
koi jhoota phir bahaana hai nahin

koi neki sirf karta hai tabhi
phir usi ko to chhupaana hai nahin

be-rukhi se bolna hai tay kiya
aapko phir muskurana hai nahin

bhaagta hai door sach se kyun koi
paas uske jab bahaana hai nahin

झूठ है सच का ज़माना है नहीं
सिर्फ़ दुनिया को बताना है नहीं

सिर्फ़ रूठे ही रहोगे आप तो
आपको क्यों फिर मनाना है नहीं

है इजाज़त और सच्चाई अगर
कोई झूठा फिर बहाना है नहीं

कोई नेकी सिर्फ़ करता है तभी
फिर उसी को तो छुपाना है नहीं

बे-रुख़ी से बोलना है तय किया
आपको फिर मुस्कुराना है नहीं

भागता है दूर सच से क्यों कोई
पास उसके जब बहाना है नहीं

  - Manohar Shimpi

Mahatma Gandhi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading Mahatma Gandhi Shayari Shayari