mudd'a hi agar rahe umda
ishq ka phir asar rahe umda
raaste mein gila kise kijeye
kaash vo rahguzar rahe umda
ek ummeed hi hamein hoti
sach kahein hum-safar rahe umda
sach galat jab kabhi chhape to kya
jo sooni vo khabar rahe umda
kab taghaaful hue batao na
isliye hi nazar rahe umda
ek khwaahish rahe yahan sabki
kaash ik khaas ghar rahe umda
jab shab-e-hijr hi rahe chhoti
saath us ke sehar rahe umda
ishq bahta sada bayaaron sa
thaamne ko jigar rahe umda
मुद्द'आ ही अगर रहे उम्दा
इश्क़ का फिर असर रहे उम्दा
रास्ते में गिला किसे कीजे
काश वो रहगुज़र रहे उम्दा
एक उम्मीद ही हमें होती
सच कहें हम-सफ़र रहे उम्दा
सच ग़लत जब कभी छपे तो क्या
जो सुनी वो ख़बर रहे उम्दा
कब तग़ाफ़ुल हुए बताओ ना
इसलिए ही नज़र रहे उम्दा
एक ख़्वाहिश रहे यहाँ सबकी
काश इक ख़ास घर रहे उम्दा
जब शब-ए-हिज्र ही रहे छोटी
साथ उस के सहर रहे उम्दा
इश्क़ बहता सदा बयारों सा
थामने को जिगर रहे उम्दा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading Ghar Shayari Shayari