umr koii bhi ho sab bacchiyaan hansa karti
baat baat par thode ladkiyaan hansa karti
phool sii hi beti maa baap ko kahaan milti
ittifaq ho to phir titliyan hansa karti
asl mein bayaaron se lautke khushi aati
jhoomte hue bhi to baaliyan hansa karti
saath jab kabhi poora khaandaan hi rehta
sirf un makaanon kii khidkiyaan hansa karti
ishq mein fasaane kya aur phir manaane kya
waqt par manaaya to ladkiyaan hansa karti
qaid mein manohar jab sakht hi saza hoti
begunaah hain un par beriyaan hansa karti
उम्र कोई भी हो सब बच्चियाँ हँसा करतीं
बात बात पर थोड़े लड़कियाँ हँसा करतीं
फूल सी ही बेटी माँ बाप को कहाँ मिलती
इत्तिफ़ाक़ हो तो फिर तितलियाँ हँसा करतीं
अस्ल में बयारों से लौटके ख़ुशी आती
झूमते हुए भी तो बालियाँ हँसा करतीं
साथ जब कभी पूरा खानदान ही रहता
सिर्फ़ उन मकानों की खिड़कियाँ हँसा करतीं
इश्क़ में फ़साने क्या और फिर मनाने क्या
वक़्त पर मनाया तो लड़कियाँ हँसा करतीं
क़ैद में 'मनोहर' जब सख़्त ही सज़ा होती
बेगुनाह हैं उन पर बेड़ियाँ हँसा करतीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading Budhapa Shayari Shayari