ham apne ghar se b-rang-e-hawa nikalte hain | हम अपने घर से ब-रंग-ए-हवा निकलते हैं

  - Najeeb Ahmad

ham apne ghar se b-rang-e-hawa nikalte hain
kisi ke haq mein kisi ke khilaaf chalte hain

abhi to din hai abhi takht-e-aasmaan pe chamak
tuloo-e-shaam ke saath aftaab dhalti hain

chale bhi ham to mah-o-saal kii misaal chale
faqeer log inhi silsiloon mein palte hain

ude bhi ham to usi samt rukh raha apna
jidhar uddein to farishton ke par bhi jalte hain

hamaare aks tire shehar mein rahe aabaad
ki us jagah to faqat aaine badalte hain

zameen pe paanv zara ehtiyaat se dharna
ukhad gaye to qadam phir kahaan sambhalte hain

najeeb jin ko garz ho na kuchh zamaane se
unhin ke saath abad tak zamaane chalte hain

हम अपने घर से ब-रंग-ए-हवा निकलते हैं
किसी के हक़ में किसी के ख़िलाफ़ चलते हैं

अभी तो दिन है अभी तख़्त-ए-आसमाँ पे चमक
तुलू-ए-शाम के साथ आफ़्ताब ढलते हैं

चले भी हम तो मह-ओ-साल की मिसाल चले
फ़क़ीर लोग इन्ही सिलसिलों में पलते हैं

उड़े भी हम तो उसी सम्त रुख़ रहा अपना
जिधर उड़ें तो फ़रिश्तों के पर भी जलते हैं

हमारे अक्स तिरे शहर में रहे आबाद
कि उस जगह तो फ़क़त आइने बदलते हैं

ज़मीं पे पाँव ज़रा एहतियात से धरना
उखड़ गए तो क़दम फिर कहाँ सँभलते हैं

'नजीब' जिन को ग़रज़ हो न कुछ ज़माने से
उन्ही के साथ अबद तक ज़माने चलते हैं

  - Najeeb Ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Najeeb Ahmad

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari