Top 180+

Raasta Shayari

Here is a curated collection of Raasta shayari in Hindi. You can download HD images of all the Raasta shayari on this page. These Raasta Shayari images can also be used as Instagram posts and whatsapp statuses. Start reading now and enjoy.

Paginated list of Raasta Shayari. Click on Load more once you reach the end of list to keep reading more content. You can also tap on Sort button below to choose your selection from popular or latest Raasta shayari in Hindi and English. Enjoy reading!

kadam rakhta hai jab raaston pe yaar aahista aahista
to chhat jaata hai sab gard-o-gubaar aahista aahista

bhari aankhon se hokar dil mein jaana sain thode hi hai
chadhe daryaon ko karte hain paar aahista aahista

nazar aata hai to yun dekhta jaata hoon mai usko
ki chal padta hai kaarobaar aahista aahista

tera paikar khuda ne bhi fursat mein banaya tha
banaayega tere jewar sunaar aahista aahista

vo kehta hai hamaare paas aao par saleeke se
ke jaise aage badhti hai kataar aahista aahista

idhar kuch auratein darwaaze par daudi hui aayi
udhar ghodon se utre shehsawaar aahista aahista
कदम रखता है जब रास्तों पे यार आहिस्ता आहिस्ता
तो छट जाता है सब गर्द-ओ-गुबार आहिस्ता आहिस्ता

भरी आँखों से होकर दिल में जाना सैन थोड़े ही है
चढ़े दरियाओं को करते हैं पार आहिस्ता आहिस्ता

नज़र आता है तो यूँ देखता जाता हूँ मै उसको
की चल पड़ता है कारोबार आहिस्ता आहिस्ता

तेरा पैकर खुदा ने भी फ़ुर्सत में बनाया था
बनाएगा तेरे जेवर सुनार आहिस्ता आहिस्ता

वो कहता है हमारे पास आओ पर सलीके से
के जैसे आगे बढ़ती है कतार आहिस्ता आहिस्ता

इधर कुछ औरतें दरवाजे पर दौड़ी हुई आयी
उधर घोड़ों से उतरे शहसवार आहिस्ता आहिस्ता
Read Full
Tehzeeb Hafi
almaari se khat us ke purane nikal aaye
phir se mere chehre pe ye daane nikal aaye

maa baith ke takti thi jahaan se mera rasta
mitti ke hataate hi khazaane nikal aaye

mumkin hai humein gaav bhi pehchaan na paaye
bachpan mein hi hum ghar se kamaane nikal aaye

ai ret ke zarre tira ehsaan bahut hai
aankhon ko bhigone ke bahaane nikal aaye

ab tere bulane se bhi hum aa nahin sakte
hum tujh se bahut aage zamaane nikal aaye

ek khauf sa rehta hai mere dil mein hamesha
kis ghar se tiri yaad na jaane nikal aaye
अलमारी से ख़त उस के पुराने निकल आए
फिर से मिरे चेहरे पे ये दाने निकल आए

माँ बैठ के तकती थी जहाँ से मिरा रस्ता
मिट्टी के हटाते ही ख़ज़ाने निकल आए

मुमकिन है हमें गाँव भी पहचान न पाए
बचपन में ही हम घर से कमाने निकल आए

ऐ रेत के ज़र्रे तिरा एहसान बहुत है
आँखों को भिगोने के बहाने निकल आए

अब तेरे बुलाने से भी हम आ नहीं सकते
हम तुझ से बहुत आगे ज़माने निकल आए

एक ख़ौफ़ सा रहता है मिरे दिल में हमेशा
किस घर से तिरी याद न जाने निकल आए
Read Full
Munawwar Rana
baadshaahon ko sikhaaya hai qalander hona
aap aasaan samjhte hain munavvar hona

ek aansu bhi hukoomat ke liye khatra hai
tum ne dekha nahin aankhon ka samundar hona

sirf bacchon ki mohabbat ne qadam rok liye
warna aasaan tha mere liye be-ghar hona

hum ko ma'aloom hai shohrat ki bulandi hum ne
qabr ki mitti ka dekha hai barabar hona

is ko qismat ki kharaabi hi kaha jaayega
aap ka shehar mein aana mera baahar hona

sochta hoon to kahaani ki tarah lagta hai
raaste se mera takna tira chat par hona

mujh ko qismat hi pahunchne nahin deti warna
ek e'zaaz hai us dar ka gadaagar hona

sirf taarikh bataane ke liye zinda hoon
ab mera ghar mein bhi hona hai calendar hona
बादशाहों को सिखाया है क़लंदर होना
आप आसान समझते हैं मुनव्वर होना

एक आँसू भी हुकूमत के लिए ख़तरा है
तुम ने देखा नहीं आँखों का समुंदर होना

सिर्फ़ बच्चों की मोहब्बत ने क़दम रोक लिए
वर्ना आसान था मेरे लिए बे-घर होना

हम को मा'लूम है शोहरत की बुलंदी हम ने
क़ब्र की मिट्टी का देखा है बराबर होना

इस को क़िस्मत की ख़राबी ही कहा जाएगा
आप का शहर में आना मिरा बाहर होना

सोचता हूँ तो कहानी की तरह लगता है
रास्ते से मिरा तकना तिरा छत पर होना

मुझ को क़िस्मत ही पहुँचने नहीं देती वर्ना
एक ए'ज़ाज़ है उस दर का गदागर होना

सिर्फ़ तारीख़ बताने के लिए ज़िंदा हूँ
अब मिरा घर में भी होना है कैलेंडर होना
Read Full
Munawwar Rana
kisi ko ghar mila hisse mein ya koi dukaaan aayi
main ghar mein sab se chhota tha mere hisse mein maa aayi

yahan se jaane waala laut kar koi nahin aaya
main rota rah gaya lekin na waapas ja ke maa aayi

adhoore raaste se lautna achha nahin hota
bulane ke liye duniya bhi aayi to kahaan aayi

kisi ko gaav se pardes le jaayegi phir shaayad
udaati rail-gaadi dher saara phir dhuaan aayi

mere bacchon mein saari aadaten maujood hain meri
to phir in bad-naseebon ko na kyun urdu zabaan aayi

qafas mein mausamon ka koi andaaza nahin hota
khuda jaane bahaar aayi chaman mein ya khizaan aayi

gharaunde to gharaunde hain chataanen toot jaati hain
udaane ke liye aandhi agar naam-o-nishaan aayi

kabhi ai khush-naseebi mere ghar ka rukh bhi kar leti
idhar pahunchee udhar pahunchee yahan aayi wahan aayi
किसी को घर मिला हिस्से में या कोई दुकाँ आई
मैं घर में सब से छोटा था मिरे हिस्से में माँ आई

यहाँ से जाने वाला लौट कर कोई नहीं आया
मैं रोता रह गया लेकिन न वापस जा के माँ आई

अधूरे रास्ते से लौटना अच्छा नहीं होता
बुलाने के लिए दुनिया भी आई तो कहाँ आई

किसी को गाँव से परदेस ले जाएगी फिर शायद
उड़ाती रेल-गाड़ी ढेर सारा फिर धुआँ आई

मिरे बच्चों में सारी आदतें मौजूद हैं मेरी
तो फिर इन बद-नसीबों को न क्यूँ उर्दू ज़बाँ आई

क़फ़स में मौसमों का कोई अंदाज़ा नहीं होता
ख़ुदा जाने बहार आई चमन में या ख़िज़ाँ आई

घरौंदे तो घरौंदे हैं चटानें टूट जाती हैं
उड़ाने के लिए आँधी अगर नाम-ओ-निशाँ आई

कभी ऐ ख़ुश-नसीबी मेरे घर का रुख़ भी कर लेती
इधर पहुँची उधर पहुँची यहाँ आई वहाँ आई
Read Full
Munawwar Rana
munh ki baat sune har koi dil ke dard ko jaane kaun
aawazon ke bazaaron mein khaamoshi pahchaane kaun

sadiyon sadiyon wahi tamasha rasta rasta lambi khoj
lekin jab hum mil jaate hain kho jaata hai jaane kaun

vo meri parchhaaien hai ya main us ka aaina hoon
mere hi ghar mein rehta hai mujh jaisa hi jaane kaun

jaane kya kya bol raha tha sarhad pyaar kitaaben khoon
kal meri neendon mein chhup kar jaag raha tha jaane kaun

kiran kiran alsata suraj palak palak khulti neenden
dheeme dheeme bikhar raha hai zarra zarra jaane kaun
मुँह की बात सुने हर कोई दिल के दर्द को जाने कौन
आवाज़ों के बाज़ारों में ख़ामोशी पहचाने कौन

सदियों सदियों वही तमाशा रस्ता रस्ता लम्बी खोज
लेकिन जब हम मिल जाते हैं खो जाता है जाने कौन

वो मेरी परछाईं है या मैं उस का आईना हूँ
मेरे ही घर में रहता है मुझ जैसा ही जाने कौन

जाने क्या क्या बोल रहा था सरहद प्यार किताबें ख़ून
कल मेरी नींदों में छुप कर जाग रहा था जाने कौन

किरन किरन अलसाता सूरज पलक पलक खुलती नींदें
धीमे धीमे बिखर रहा है ज़र्रा ज़र्रा जाने कौन
Read Full
Nida Fazli
jidhar jaate hain sab jaana udhar achha nahin lagta
mujhe paamaal raston ka safar achha nahin lagta

galat baaton ko khaamoshi se sunna haami bhar lena
bahut hain faaede is mein magar achha nahin lagta

mujhe dushman se bhi khuddaari ki ummeed rahti hai
kisi ka bhi ho sar qadmon mein sar achha nahin lagta

bulandi par unhen mitti ki khushboo tak nahin aati
ye vo shaakhen hain jin ko ab shajar achha nahin lagta

ye kyun baaki rahe aatish-zano ye bhi jala daalo
ki sab be-ghar hon aur mera ho ghar achha nahin lagta
जिधर जाते हैं सब जाना उधर अच्छा नहीं लगता
मुझे पामाल रस्तों का सफ़र अच्छा नहीं लगता

ग़लत बातों को ख़ामोशी से सुनना हामी भर लेना
बहुत हैं फ़ाएदे इस में मगर अच्छा नहीं लगता

मुझे दुश्मन से भी ख़ुद्दारी की उम्मीद रहती है
किसी का भी हो सर क़दमों में सर अच्छा नहीं लगता

बुलंदी पर उन्हें मिट्टी की ख़ुश्बू तक नहीं आती
ये वो शाख़ें हैं जिन को अब शजर अच्छा नहीं लगता

ये क्यूँ बाक़ी रहे आतिश-ज़नो ये भी जला डालो
कि सब बे-घर हों और मेरा हो घर अच्छा नहीं लगता
Read Full
Javed Akhtar
main is umeed pe dooba ki tu bacha lega
ab is ke ba'ad mera imtihaan kya lega

ye ek mela hai wa'da kisi se kya lega
dhalega din to har ik apna raasta lega

main bujh gaya to hamesha ko bujh hi jaaunga
koi charaagh nahin hoon ki phir jala lega

kaleja chahiye dushman se dushmani ke liye
jo be-amal hai vo badla kisi se kya lega

main us ka ho nahin saka bata na dena use
lakeeren haath ki apni vo sab jala lega

hazaar tod ke aa jaaun us se rishta waseem
main jaanta hoon vo jab chahega bula lega
मैं इस उमीद पे डूबा कि तू बचा लेगा
अब इस के बा'द मिरा इम्तिहान क्या लेगा

ये एक मेला है वा'दा किसी से क्या लेगा
ढलेगा दिन तो हर इक अपना रास्ता लेगा

मैं बुझ गया तो हमेशा को बुझ ही जाऊँगा
कोई चराग़ नहीं हूँ कि फिर जला लेगा

कलेजा चाहिए दुश्मन से दुश्मनी के लिए
जो बे-अमल है वो बदला किसी से क्या लेगा

मैं उस का हो नहीं सकता बता न देना उसे
लकीरें हाथ की अपनी वो सब जला लेगा

हज़ार तोड़ के आ जाऊँ उस से रिश्ता 'वसीम'
मैं जानता हूँ वो जब चाहेगा बुला लेगा
Read Full
Waseem Barelvi

LOAD MORE

How's your Mood?

Latest Blog