Top 70+

Udas Shayari

Here is a curated collection of Udas shayari in Hindi. You can download HD images of all the Udas shayari on this page. These Udas Shayari images can also be used as Instagram posts and whatsapp statuses. Start reading now and enjoy.

Paginated list of Udas Shayari. Click on Load more once you reach the end of list to keep reading more content. You can also tap on Sort button below to choose your selection from popular or latest Udas shayari in Hindi and English. Enjoy reading!

mujhe udaas kar gaye ho khush raho
mere mizaaj par gaye ho khush raho

mere liye na ruk sake to kya hua
jahaan kahi thehar gaye ho khush raho

khushi hui hai aaj tum ko dekh kar
bahut nikhar sanwar gaye ho khush raho

udaas ho kisi ki bewafaai par
wafa kahi to kar gaye ho khush raho

gali mein aur log bhi the aashna
humein salaam kar gaye ho khush raho

tumhein to meri dosti pe naaz tha
isee se ab mukar gaye ho khush raho

kisi ki zindagi bano ki bandagi
mere liye to mar gaye ho khush raho
मुझे उदास कर गए हो ख़ुश रहो
मिरे मिज़ाज पर गए हो ख़ुश रहो

मिरे लिए न रुक सके तो क्या हुआ
जहाँ कहीं ठहर गए हो ख़ुश रहो

ख़ुशी हुई है आज तुम को देख कर
बहुत निखर सँवर गए हो ख़ुश रहो

उदास हो किसी की बेवफ़ाई पर
वफ़ा कहीं तो कर गए हो ख़ुश रहो

गली में और लोग भी थे आश्ना
हमें सलाम कर गए हो ख़ुश रहो

तुम्हें तो मेरी दोस्ती पे नाज़ था
इसी से अब मुकर गए हो ख़ुश रहो

किसी की ज़िंदगी बनो कि बंदगी
मिरे लिए तो मर गए हो ख़ुश रहो
Read Full
Fazil Jamili
thakan ko odh ke bistar mein ja ke late gaye
hum apni qabr-e-muqarrar mein ja ke late gaye

tamaam umr hum ik doosre se ladte rahe
magar mare to barabar mein ja ke late gaye

hamaari tishna-naseebi ka haal mat poocho
vo pyaas thi ki samundar mein ja ke late gaye

na jaane kaisi thakan thi kabhi nahin utri
chale jo ghar se to daftar mein ja ke late gaye

ye bewaqoof unhen maut se daraate hain
jo khud hi saaya-e-khanjar mein ja ke late gaye

tamaam umr jo nikle na the haveli se
vo ek gumbad-e-be-dar mein ja ke late gaye

sajaaye firte the jhooti ana jo chehron par
vo log qasr-e-sikandar mein ja ke late gaye

saza hamaari bhi kaatee hai baal-bachchon ne
ki hum udaas hue ghar mein ja ke late gaye
थकन को ओढ़ के बिस्तर में जा के लेट गए
हम अपनी क़ब्र-ए-मुक़र्रर में जा के लेट गए

तमाम उम्र हम इक दूसरे से लड़ते रहे
मगर मरे तो बराबर में जा के लेट गए

हमारी तिश्ना-नसीबी का हाल मत पूछो
वो प्यास थी कि समुंदर में जा के लेट गए

न जाने कैसी थकन थी कभी नहीं उतरी
चले जो घर से तो दफ़्तर में जा के लेट गए

ये बेवक़ूफ़ उन्हें मौत से डराते हैं
जो ख़ुद ही साया-ए-ख़ंजर में जा के लेट गए

तमाम उम्र जो निकले न थे हवेली से
वो एक गुम्बद-ए-बे-दर में जा के लेट गए

सजाए फिरते थे झूटी अना जो चेहरों पर
वो लोग क़स्र-ए-सिकंदर में जा के लेट गए

सज़ा हमारी भी काटी है बाल-बच्चों ने
कि हम उदास हुए घर में जा के लेट गए
Read Full
Munawwar Rana
hamaare paas to aao bada andhera hai
kahi na chhod ke jaao bada andhera hai

udaas kar gaye be-saakhta latife bhi
ab aansuon se rulao bada andhera hai

koi sitaara nahin pattharon ki palkon par
koi charaagh jalao bada andhera hai

haqeeqaton mein zamaana bahut guzaar chuke
koi kahaani sunaao bada andhera hai

kitaaben kaisi utha laaye may-kade waale
ghazal ke jaam uthao bada andhera hai

ghazal mein jis ki hamesha charaagh jalte hain
use kahi se bulao bada andhera hai

vo chaandni ki basharat hai harf-e-aakhir tak
basheer-badr ko laao bada andhera hai
हमारे पास तो आओ बड़ा अंधेरा है
कहीं न छोड़ के जाओ बड़ा अंधेरा है

उदास कर गए बे-साख़्ता लतीफ़े भी
अब आँसुओं से रुलाओ बड़ा अँधेरा है

कोई सितारा नहीं पत्थरों की पलकों पर
कोई चराग़ जलाओ बड़ा अँधेरा है

हक़ीक़तों में ज़माना बहुत गुज़ार चुके
कोई कहानी सुनाओ बड़ा अँधेरा है

किताबें कैसी उठा लाए मय-कदे वाले
ग़ज़ल के जाम उठाओ बड़ा अँधेरा है

ग़ज़ल में जिस की हमेशा चराग़ जलते हैं
उसे कहीं से बुलाओ बड़ा अँधेरा है

वो चाँदनी की बशारत है हर्फ़-ए-आख़िर तक
'बशीर-बद्र' को लाओ बड़ा अँधेरा है
Read Full
Bashir Badr
udaas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah seepiyon mein palte hain

ghane dhuen mein farishte bhi aankh malte hain
tamaam raat khujuroon ke ped julte hain

main shaahraah nahin raaste ka patthar hoon
yahan sawaar bhi paidal utar ke chalte hain

unhen kabhi na bataana main un ki aankhon mein
vo log phool samajh kar mujhe maslate hain

kai sitaaron ko main jaanta hoon bachpan se
kahi bhi jaaun mere saath saath chalte hain

ye ek ped hai aa is se mil ke ro len hum
yahan se tere mere raaste badalte hain
उदास आँखों से आँसू नहीं निकलते हैं
ये मोतियों की तरह सीपियों में पलते हैं

घने धुएँ में फ़रिश्ते भी आँख मलते हैं
तमाम रात खुजूरों के पेड़ जुलते हैं

मैं शाहराह नहीं रास्ते का पत्थर हूँ
यहाँ सवार भी पैदल उतर के चलते हैं

उन्हें कभी न बताना मैं उन की आँखों में
वो लोग फूल समझ कर मुझे मसलते हैं

कई सितारों को मैं जानता हूँ बचपन से
कहीं भी जाऊँ मिरे साथ साथ चलते हैं

ये एक पेड़ है आ इस से मिल के रो लें हम
यहाँ से तेरे मिरे रास्ते बदलते हैं
Read Full
Bashir Badr
main dil pe jabr karunga tujhe bhula doonga
maroonga khud bhi tujhe bhi kaddi saza doonga

ye teergi mere ghar ka hi kyun muqaddar ho
main tere shehar ke saare diye bujha doonga

hawa ka haath bataaunga har tabaahi mein
haare shajar se parinde main khud uda doonga

wafa karunga kisi sogwaar chehre se
puraani qabr pe kitaba naya saja doonga

isee khayal mein guzri hai shaam-e-dard akshar
ki dard had se badhega to muskuraa doonga

tu aasmaan ki soorat hai gar padega kabhi
zameen hoon main bhi magar tujh ko aasraa doonga

badha rahi hain mere dukh nishaaniyaan teri
main tere khat tiri tasveer tak jala doonga

bahut dinon se mera dil udaas hai mohsin
is aaine ko koi aks ab naya doonga
मैं दिल पे जब्र करूँगा तुझे भुला दूँगा
मरूँगा ख़ुद भी तुझे भी कड़ी सज़ा दूँगा

ये तीरगी मिरे घर का ही क्यूँ मुक़द्दर हो
मैं तेरे शहर के सारे दिए बुझा दूँगा

हवा का हाथ बटाऊँगा हर तबाही में
हरे शजर से परिंदे मैं ख़ुद उड़ा दूँगा

वफ़ा करूँगा किसी सोगवार चेहरे से
पुरानी क़ब्र पे कतबा नया सजा दूँगा

इसी ख़याल में गुज़री है शाम-ए-दर्द अक्सर
कि दर्द हद से बढ़ेगा तो मुस्कुरा दूँगा

तू आसमान की सूरत है गर पड़ेगा कभी
ज़मीं हूँ मैं भी मगर तुझ को आसरा दूँगा

बढ़ा रही हैं मिरे दुख निशानियाँ तेरी
मैं तेरे ख़त तिरी तस्वीर तक जला दूँगा

बहुत दिनों से मिरा दिल उदास है 'मोहसिन'
इस आइने को कोई अक्स अब नया दूँगा
Read Full
Mohsin Naqvi
ho gaya hoon main bhi shaamil udaas logon mein
lagne lag gaya hai ab dil udaas logon mein

ye jamaat to hai bas aql-mand logon ki
hote hi nahin hai jaahil udaas logon mein

baat hi nahin karte sab khamosh rahte hain
din guzaarna hai mushkil udaas logon mein

intizaar mein baithe log sab tumhaare hai
phool ki tarah ja kar khil udaas logon mein

kaise kah diya hai cigarette ko bura tumne
is nashe ke hai sab kail udaas logon mein

bhar gai hai poori duniya udaas logon se
ek main hi hoon bas khush dil udaas logon mein

qatl khud ka karte hain vo bhi apne haathon se
sab bhare pade hai qaateel udaas logon mein
हो गया हूँ मैं भी शामिल उदास लोगों में
लगने लग गया है अब दिल उदास लोगों में

ये जमात तो है बस अक़्ल-मंद लोगों की
होते ही नहीं है जाहिल उदास लोगों में

बात ही नहीं करते सब ख़मोश रहते हैं
दिन गुज़ारना है मुश्किल उदास लोगों में

इंतिज़ार में बैठे लोग सब तुम्हारे है
फूल की तरह जा कर खिल उदास लोगों में

कैसे कह दिया है सिगरेट को बुरा तुमने
इस नशे के है सब काइल उदास लोगों में

भर गई है पूरी दुनिया उदास लोगों से
एक मैं ही हूँ बस खुश दिल उदास लोगों में

क़त्ल खुद का करते हैं वो भी अपने हाथों से
सब भरे पड़े है क़ातिल उदास लोगों में
Read Full
Aakash Giri
udaas ladkiyon se raabta nibhaata hoon
main ek phool hoon jo titliyan bachaata hoon

jee main hi ishq mein haare huoon ka murshid hoon
jee main hi har sadi mein qais ban ke aata hoon

sataai hoti hain jo aapke samandar ki
main aisi machliyon ke saath gote khaata hoon

kisi ke vaaste kaante nahin bichaata main
magar yun bhi nahin ke kaanton ko hataata hoon

main mausami hasi ka maara hoon ki koi din
main saal bhar mein koi din hi muskurata hoon

badan bhi aate hain aur hichakiyaan bhi aati hain
main jinko bhool gaya unko yaad aata hoon

nibhaane jaisa to kuch bhi nahin hai usmein magar
vo mar na jaaye kahi isliye nibhaata hoon
उदास लड़कियों से राब्ता निभाता हूँ
मैं एक फूल हूँ जो तितलियाँ बचाता हूँ

जी मैं ही इश्क़ में हारे हुओं का मुर्शिद हूँ
जी मैं ही हर सदी में क़ैस बन के आता हूँ

सताई होती हैं जो आपके समंदर की
मैं ऐसी मछलियों के साथ गोते खाता हूँ

किसी के वास्ते काँटे नहीं बिछाता मैं
मगर यूँ भी नहीं के काँटों को हटाता हूँ

मैं मौसमी हँसी का मारा हूँ कि कोई दिन
मैं साल भर में कोई दिन ही मुस्कुराता हूँ

बदन भी आते हैं और हिचकियाँ भी आती हैं
मैं जिनको भूल गया उनको याद आता हूँ

निभाने जैसा तो कुछ भी नहीं है उसमें मगर
वो मर न जाए कहीं इसलिए निभाता हूँ
Read Full
Rishabh Sharma

LOAD MORE

How's your Mood?

Latest Blog