gali mein teri mere ishq ke nishaan bhi hain
kahin pe reng bani to kahin udaan bhi hain
hazaaron ghaav kiye hain mere kaleje mein
nazar ye teer teri aur bhanwen kamaan bhi hain
laga di aag mohalle mein husn ne tere
ab iski zad mein kai dil hain aur jaan bhi hain
diye ki lau se dahakte hue hain lab dono
qareeb mein jo uge til labon kii shaan bhi hain
jhuke hain qadmon mein sab chaand aur sitaare bhi
badan kii khushboo gulaabon ke gulistaan bhi hain
tere zamaal kii tasveer kheench di maine
meri qalam mein hain aankhen zabaan hai kaan bhi hain
vo asl ishq budhaape mein kaargar hoga
khumaar zehan mein to ham abhi jawaan bhi hain
khuda kii paak ibadat sa ishq ho to sahi
wagarana nitya yahin jismoon kii dukaan bhi hain
गली में तेरी मेरे इश्क़ के निशान भी हैं
कहीं पे रेंग बनीं तो कहीं उड़ान भी हैं
हज़ारों घाव किए हैं मेरे कलेजे में
नज़र ये तीर तेरी और भँवें कमान भी हैं
लगा दी आग मुहल्ले में हुस्न ने तेरे
अब इसकी ज़द में कई दिल हैं और जान भी हैं
दिए कि लौ से दहकते हुए हैं लब दोनों
क़रीब में जो उगे तिल लबों की शान भी हैं
झुके हैं क़दमों में सब चाँद और सितारे भी
बदन की ख़ुशबू गुलाबों के गुलिस्तान भी हैं
तेरे ज़माल की तस्वीर खींच दी मैंने
मेरी क़लम में हैं आँखें ज़बाँ है कान भी हैं
वो अस्ल इश्क़ बुढ़ापे में कारगर होगा
ख़ुमार ज़ेहन में तो हम अभी जवान भी हैं
ख़ुदा की पाक़ इबादत सा इश्क़ हो तो सही
वगरना 'नित्य' यहीं जिस्मों की दुकान भी हैं
As you were reading Shayari by Nityanand Vajpayee
our suggestion based on Nityanand Vajpayee
As you were reading undefined Shayari