mahz ik naasoor bante ja rahe ho
aur tum mere jigar ko kha rahe ho
tod kar mere hriday kii teeliyaan tum
baazuon mein ghair ke ithla rahe ho
matlabi maasoom qaatil ho mere tum
jism-o-jaan mein aaj tak bhi chhaa rahe ho
महज़ इक नासूर बनते जा रहे हो
और तुम मेरे जिगर को खा रहे हो
तोड़ कर मेरे हृदय की तीलियाँ तुम
बाज़ुओं में ग़ैर के इठला रहे हो
मतलबी मासूम क़ातिल हो मेरे तुम
जिस्म-ओ-जाँ में आज तक भी छा रहे हो
As you were reading Shayari by Nityanand Vajpayee
our suggestion based on Nityanand Vajpayee
As you were reading undefined Shayari