charaagh-e-dahr yun jalta nahin hota
hawa ka rukh agar badla nahin hota
rookoon to phir koii manzil nahin dikhti
chaloon to phir koii rasta nahin hota
wafaadaari adaakaari nahin hoti
har ik ke chehre par chehra nahin hota
pari-zaadi hamein bhi dikhti ye duniya
agar ham ne tumhein dekha nahin hota
aseer-e-ishq hoon shehr-e-mohabbat mein
jo tanhaai mein bhi tanhaa nahin hota
khulengi sab kitaaben ishq kii us jagah
jahaan par jism ka parda nahin hota
ye paudhe dhoop mein sanwala gaye hote
agar inke liye gamla nahin hota
jo banti jodiyaan gar aasmaanon mein
kisi ke saath phir dhoka nahin hota
mere hone se aakhir kya hua hai raaj
na hota main agar to kya nahin hota
चराग़-ए-दहर यूँ जलता नहीं होता
हवा का रुख़ अगर बदला नहीं होता
रुकूँ तो फिर कोई मंज़िल नहीं दिखती
चलूँ तो फिर कोई रस्ता नहीं होता
वफ़ादारी अदाकारी नहीं होती
हर इक के चेहरे पर चेहरा नहीं होता
परी-ज़ादी हमें भी दिखती ये दुनिया
अगर हम ने तुम्हें देखा नहीं होता
असीर-ए-इश्क़ हूँ शहर-ए-मुहब्बत में
जो तन्हाई में भी तन्हा नहीं होता
खुलेंगी सब किताबें इश्क़ की उस जगह
जहाँ पर जिस्म का पर्दा नहीं होता
ये पौधे धूप में सँवला गए होते
अगर इनके लिए गमला नहीं होता
जो बनती जोड़ियाँ गर आसमानों में
किसी के साथ फिर धोका नहीं होता
मिरे होने से आख़िर क्या हुआ है 'राज'
न होता मैं अगर तो क्या नहीं होता
As you were reading Shayari by Raj Tiwari
our suggestion based on Raj Tiwari
As you were reading undefined Shayari