tasavvur badhta jaata hai magar soorat nahin milti | तसव्वुर बढ़ता जाता है मगर सूरत नहीं मिलती - Rakesh Mahadiuree

tasavvur badhta jaata hai magar soorat nahin milti
ki mumkin hai khuda mil jaaye par hasrat nahin milti

mujhe maaloom hai duniya mujhe kab tak pukaaregi
kiraye ke makaanon mein kabhi zeenat nahin milti

chamakte chaand ne mujhko kabhi itna bataaya tha
kisi ko toot ke chaaho bhi to ujlat nahin milti

to phir jannat haqeeqat mein nahin hai maan le zaahid
hamaare saath rahkar bhi agar jannat nahin milti

yun mere saamne badh-chadh ke mat aa ai ameer-e-shahr
tere jaise ameeron se meri qeemat nahin milti

main kehta tha tumhein mar jaaun to qeemat na kam hogi
ki dekho ik bhi turbat se meri turbat nahin milti

तसव्वुर बढ़ता जाता है मगर सूरत नहीं मिलती
कि मुमकिन है ख़ुदा मिल जाए पर हसरत नहीं मिलती

मुझे मालूम है दुनिया मुझे कब तक पुकारेगी
किराए के मकानों में कभी ज़ीनत नहीं मिलती

चमकते चाँद ने मुझको कभी इतना बताया था
किसी को टूट के चाहो भी तो उजलत नहीं मिलती

तो फिर जन्नत हक़ीक़त में नहीं है मान ले ज़ाहिद
हमारे साथ रहकर भी अगर जन्नत नहीं मिलती

यूँ मेरे सामने बढ़-चढ़ के मत आ ऐ अमीर-ए-शहर
तेरे जैसे अमीरों से मेरी क़ीमत नहीं मिलती

मैं कहता था तुम्हें मर जाऊँ तो क़ीमत न कम होगी
कि देखो इक भी तुर्बत से मेरी तुर्बत नहीं मिलती

- Rakesh Mahadiuree
0 Likes

More by Rakesh Mahadiuree

As you were reading Shayari by Rakesh Mahadiuree

Similar Writers

our suggestion based on Rakesh Mahadiuree

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari