purane doston se ab muravvat chhod di ham ne
mu'azziz ho gaye ham bhi sharaafat chhod di ham ne
mayassar aa chuki hai sarbulandi mud ke kyun dekhen
imaamat mil gai ham ko to ummat chhod di ham ne
kise maaloom kya hoga maal aainda naslon ka
jawaan ho kar buzurgon kii rivaayat chhod di ham ne
ye mulk apna hai aur is mulk kii sarkaar apni hai
mili hai naukri jab se bagaavat chhod di ham ne
hai utna waqia us se na milne kii qasam kha li
ta'assuf is qadar goya wazaarat chhod di ham ne
karein kya ye bala apne liye khud muntakhab kii hai
gila baaki raha lekin shikaayat chhod di ham ne
sitaare is qadar dekhe ki aankhen bujh gaeein apni
mohabbat is qadar kar li mohabbat chhod di ham ne
jo socha hai azeezon kii samajh mein aa nahin saktaa
sharaarat ab ke ye kii hai sharaarat chhod di ham ne
uljh padte agar to ham mein tum mein farq kya rehta
yahi deewaar baaki thi salaamat chhod di ham ne
gunehgaaro mein shaamil muddai bhi aur mulzim bhi
tira insaaf dekha aur adaalat chhod di ham ne
पुराने दोस्तों से अब मुरव्वत छोड़ दी हम ने
मु'अज़्ज़िज़ हो गए हम भी शराफ़त छोड़ दी हम ने
मयस्सर आ चुकी है सर-बुलंदी मुड़ के क्यूँ देखें
इमामत मिल गई हम को तो उम्मत छोड़ दी हम ने
किसे मा'लूम क्या होगा मआल आइंदा नस्लों का
जवाँ हो कर बुज़ुर्गों की रिवायत छोड़ दी हम ने
ये मुल्क अपना है और इस मुल्क की सरकार अपनी है
मिली है नौकरी जब से बग़ावत छोड़ दी हम ने
है उतना वाक़ि'आ उस से न मिलने की क़सम खा ली
तअस्सुफ़ इस क़दर गोया वज़ारत छोड़ दी हम ने
करें क्या ये बला अपने लिए ख़ुद मुंतख़ब की है
गिला बाक़ी रहा लेकिन शिकायत छोड़ दी हम ने
सितारे इस क़दर देखे कि आँखें बुझ गईं अपनी
मोहब्बत इस क़दर कर ली मोहब्बत छोड़ दी हम ने
जो सोचा है 'अज़ीज़ों की समझ में आ नहीं सकता
शरारत अब के ये की है शरारत छोड़ दी हम ने
उलझ पड़ते अगर तो हम में तुम में फ़र्क़ क्या रहता
यही दीवार बाक़ी थी सलामत छोड़ दी हम ने
गुनहगारों में शामिल मुद्द'ई भी और मुल्ज़िम भी
तिरा इंसाफ़ देखा और 'अदालत छोड़ दी हम ने
As you were reading Shayari by Shahzad Ahmad
our suggestion based on Shahzad Ahmad
As you were reading undefined Shayari