qaid kar lete hain ik khol ke andar khud ko
aur kar lete hain tasleem qalander khud ko
aise kuchh log bhi guzare hain nazar se meri
naam lekar jo samajhte hain sikandar khud ko
aap kahte hain jo taalaab to kahte rahiye
apni wus'at se jata dega samandar khud ko
laakh daava tu kare mujhse alag hone ka
maine mehsoos kiya hai tere andar khud ko
क़ैद कर लेते हैं इक खोल के अंदर ख़ुद को
और कर लेते हैं तस्लीम क़लंदर ख़ुद को
ऐसे कुछ लोग भी गुज़रे हैं नज़र से मेरी
नाम लेकर जो समझते हैं सिकंदर ख़ुद को
आप कहते हैं जो तालाब तो कहते रहिए
अपनी वुसअत से जता देगा समंदर ख़ुद को
लाख दावा तू करे मुझसे अलग होने का
मैंने महसूस किया है तेरे अंदर ख़ुद को
As you were reading Shayari by Shakir Dehlvi
our suggestion based on Shakir Dehlvi
As you were reading undefined Shayari