rakkha zaruraton ke sabab be-dili se yaad | रक्खा ज़रूरतों के सबब बे-दिली से याद - Shakir Dehlvi

rakkha zaruraton ke sabab be-dili se yaad
karta hai kaun hamko bhala ab khushi se yaad

ik be-kali ne yaad se ghaafil kiya teri
kuch kal pada to karne lage be-kali se yaad

karte hain kuch bhi yaad to aata hai yaad vo
mansoob ho gai hai hamaari kisi se yaad

dariya dili pe meri vo hairaan rah gaya
usne rakha tha mujhko meri tashnagi se yaad

mujhko yaqeen hai mere jaane ke baad bhi
mujhko rakhenge aap meri shaayari se yaad

रक्खा ज़रूरतों के सबब बे-दिली से याद
करता है कौन हमको भला अब ख़ुशी से याद

इक बे-कली ने याद से ग़ाफ़िल किया तेरी
कुछ कल पड़ा तो करने लगे बे-कली से याद

करते हैं कुछ भी याद तो आता है याद वो
मंसूब हो गई है हमारी किसी से याद

दरिया दिली पे मेरी वो हैरान रह गया
उसने रखा था मुझको मेरी तश्नगी से याद

मुझको यक़ीन है मेरे जाने के बाद भी
मुझको रखेंगे आप मेरी शाइरी से याद

- Shakir Dehlvi
0 Likes

More by Shakir Dehlvi

As you were reading Shayari by Shakir Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Shakir Dehlvi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari