chaarsoo jab chaaragar hain ghaav kyun jaata nahin
kya sitam hai dard mera chain kyun paata nahin
ek roothi sii hasi hai hont pe thehri mere
ek aansu khushnuma hai aankh se jaata nahin
shakl teri bhi zara badli hui sii lag rahi
mil raha hoon main bhi yun jaise koii naata nahin
aaj baadal ke sahaare usne khat bheja hamein
aasmaan qaasid hai kaisa lafz barsaata nahin
chaar ghante tees minaton mein milo usne kaha
palakar ke ghadi ka chal raha kaanta nahin
mera haafiz mera murshid shaan tu hai ban gaya
ishq sajde se juda mujhko nazar aata nahin
चारसू जब चारागर हैं घाव क्यों जाता नहीं
क्या सितम है दर्द मेरा चैन क्यों पाता नहीं
एक रूठी सी हँसी है होंठ पे ठहरी मिरे
एक आँसू ख़ुशनुमा है आँख से जाता नहीं
शक़्ल तेरी भी ज़रा बदली हुई सी लग रही
मिल रहा हूँ मैं भी यूँ जैसे कोई नाता नहीं
आज बादल के सहारे उसने ख़त भेजा हमें
आसमाँ क़ासिद है कैसा लफ़्ज़ बरसाता नहीं
चार घंटे तीस मिनटों में मिलो उसने कहा
बदनसीबी के घड़ी का चल रहा काँटा नहीं
मेरा हाफ़िज़ मेरा मुर्शिद ' शान ' तू है बन गया
इश्क़ सजदे से जुदा मुझको नज़र आता नहीं
As you were reading Shayari by Shan Sharma
our suggestion based on Shan Sharma
As you were reading undefined Shayari