mujhe de kar gaya hai bad-dua koii | मुझे दे कर गया है बद-दुआ कोई

  - ABhishek Parashar

mujhe de kar gaya hai bad-dua koii
mujhe dikhta nahin hai raasta koii


wahi khoya mujhe chaahat thi jiski so

khuda se ab nahin hai vaasta koii
main tanhaa raat mein ye sochta hoon dost

mujhe kyun deta hoga bad-dua koii
koii karta mujhe bhi yaad barson tak

miyaan mera bhi rasta dekhta koii
agar tha ishq tera aakhiri main hi

to mere baad kaise aa gaya koii
na jaane kaun rehta hai mere dil mein

na jaane kyun nahin aane diya koii
bhala kaise bacha jaaye mohabbat se

jahaan-deeda dikhaayein raasta koii

मुझे दे कर गया है बद-दुआ कोई
मुझे दिखता नहीं है रास्ता कोई


वही खोया मुझे चाहत थी जिसकी सो

ख़ुदा से अब नहीं है वास्ता कोई
मैं तन्हा रात में ये सोचता हूँ दोस्त

मुझे क्यों देता होगा बद-दुआ कोई
कोई करता मुझे भी याद बरसों तक

मियाँ मेरा भी रस्ता देखता कोई
अगर था इश्क़ तेरा आख़िरी मैं ही

तो मेरे बाद कैसे आ गया कोई
न जाने कौन रहता है मेरे दिल में

न जाने क्यों नहीं आने दिया कोई
भला कैसे बचा जाए मोहब्बत से

जहाँ-दीदा दिखाएँ रास्ता कोई

  - ABhishek Parashar

More by ABhishek Parashar

As you were reading Shayari by ABhishek Parashar

Similar Writers

our suggestion based on ABhishek Parashar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari