tavakkuf se liya har faisla bhi
ghalat hai khud-kushi ka sochna bhi
mujhe sab kuchh mila gham bhi jafaa bhi
mohabbat mein jo kuchh socha hua bhi
koii bhi to nahin rukta mere paas
tumhaare baad jo aaya gaya bhi
banaaye mere dil mein ghar koii to
use jaane se pehle todna bhi
mujhe sab to dubone pe tule hain
so koii to sikhaao tairna bhi
तवक़्क़ुफ़ से लिया हर फ़ैसला भी
ग़लत है ख़ुद-कुशी का सोचना भी
मुझे सब कुछ मिला ग़म भी जफ़ा भी
मोहब्बत में जो कुछ सोचा हुआ भी
कोई भी तो नहीं रुकता मेरे पास
तुम्हारे बाद जो आया गया भी
बनाए मेरे दिल में घर कोई तो
उसे जाने से पहले तोड़ना भी
मुझे सब तो डुबोने पे तुले हैं
सो कोई तो सिखाओ तैरना भी
As you were reading Shayari by ABhishek Parashar
our suggestion based on ABhishek Parashar
As you were reading undefined Shayari