main kya karoon jo maut se ummeed na rakhoon koii
main kya karoon ki zindagi mein kuchh badal nahin raha
vo hausla tha phoonk maar-kar bujha den aaftaab
ye haal hai ki mujhse ik charaagh jal nahin raha
मैं क्या करूँ जो मौत से उम्मीद न रखूँ कोई
मैं क्या करूँ कि ज़िन्दगी में कुछ बदल नहीं रहा
वो हौसला था फूँक मारकर बुझा दें आफ़ताब
ये हाल है कि मुझसे इक चराग़ जल नहीं रहा
As you were reading Shayari by Upendra Bajpai
our suggestion based on Upendra Bajpai
As you were reading undefined Shayari