dil ka paudha haraa nahin hota
un se ab saamna nahin hota
sochne bhar kii doori pe hai vo par
mera socha hua nahin hota
us taraf hoti hai meri manzil
jis taraf raasta nahin hota
apna to khair dil hi toota hai
ishq mein varna kya nahin hota
hain adhoore vo sab shajar jin par
ek bhi ghonsla nahin hota
sirf do chaar haadson ke siva
duniya mein kuchh naya nahin hota
दिल का पौधा हरा नहीं होता
उन से अब सामना नहीं होता
सोचने भर की दूरी पे है वो पर
मेरा सोचा हुआ नहीं होता
उस तरफ़ होती है मेरी मंज़िल
जिस तरफ़ रास्ता नहीं होता
अपना तो ख़ैर दिल ही टूटा है
इश्क़ में वरना क्या नहीं होता
हैं अधूरे वो सब शजर जिन पर
एक भी घोंसला नहीं होता
सिर्फ़ दो चार हादसों के सिवा
दुनिया में कुछ नया नहीं होता
As you were reading Shayari by Viru Panwar
our suggestion based on Viru Panwar
As you were reading undefined Shayari