wahi khwaab tha bas mohabbat meri
nahin ban saka jo haqeeqat meri
koii to nikaalo mujhe qabr se
use dekhni hai ye soorat meri
vo to door se hi nazar aata hai
ye aur baat kam hai basaarat meri
mujhe phir banaya hi kyun tha khuda
kisi ko na thi jab zaroorat meri
वही ख़्वाब था बस मोहब्बत मेरी
नहीं बन सका जो हक़ीक़त मेरी
कोई तो निकालो मुझे क़ब्र से
उसे देखनी है ये सूरत मेरी
वो तो दूर से ही नज़र आता है
ये और बात कम है बसारत मेरी
मुझे फिर बनाया ही क्यूँ था ख़ुदा
किसी को न थी जब ज़रूरत मेरी
As you were reading Shayari by Viru Panwar
our suggestion based on Viru Panwar
As you were reading undefined Shayari