kis qadar mahdood kar deta hai gham insaan ko
khatm kar deta hai har ummeed har imkaan ko
geet gaata bhi nahin ghar ko sajaata bhi nahin
aur badalta bhi nahin vo saaz ko samaan ko
itne barson kii riyaazat se jo qaaim ho saka
aap se khatra bahut hai mere is imaan ko
koii rukta hi nahin is kii tasalli ke liye
dekhta rehta hai dil har ajnabi mehmaan ko
ab to ye shaayad kisi bhi kaam aa saktaa nahin
aap hi le jaaie mere dil-e-naadaan ko
shehar waalon ko to jaise kuchh pata chalta nahin
rokta rehta hai saahil roz-o-shab toofaan ko
किस क़दर महदूद कर देता है ग़म इंसान को
ख़त्म कर देता है हर उम्मीद हर इम्कान को
गीत गाता भी नहीं घर को सजाता भी नहीं
और बदलता भी नहीं वो साज़ को सामान को
इतने बरसों की रियाज़त से जो क़ाएम हो सका
आप से ख़तरा बहुत है मेरे इस ईमान को
कोई रुकता ही नहीं इस की तसल्ली के लिए
देखता रहता है दिल हर अजनबी मेहमान को
अब तो ये शायद किसी भी काम आ सकता नहीं
आप ही ले जाइए मेरे दिल-ए-नादान को
शहर वालों को तो जैसे कुछ पता चलता नहीं
रोकता रहता है साहिल रोज़-ओ-शब तूफ़ान को
As you were reading Shayari by Zeeshan Sahil
our suggestion based on Zeeshan Sahil
As you were reading undefined Shayari