nazar manzil pe hai jinki qadam khud hi badhaate hain
vo chadkar aasmaanon mein sitaare gadh ke aate hain
iraade har samay unke sada hi aag hote hain
vo loha maankar khud ko hi bhatti mein tapaate hain
bahut dushwaariyaan hoti hain inke roz jeevan mein
tabhi chupke se jaakar ye kahin milte milaate hain
samarpan is qadar inka muhabbat mein bhale dhokha
mile inko magar ye ek-tarfa bhi nibhaate hain
bharosa hi nahin tujhko hamaari is muhabbat par
to sun zalim nikalkar ab tere pahluu se jaate hain
mujhe maaloom hai arhat bahut dukh hai zamaane mein
tabhi ab ham tere sajde mein sir apna jhukaate hain
नज़र मंज़िल पे है जिनकी क़दम ख़ुद ही बढ़ाते हैं
वो चढ़कर आसमानों में सितारे गढ़ के आते हैं
इरादे हर समय उनके सदा ही आग होते हैं
वो लोहा मानकर ख़ुद को ही भट्टी में तपाते हैं
बहुत दुश्वारियाँ होती हैं इनके रोज़ जीवन में
तभी चुपके से जाकर ये कहीं मिलते मिलाते हैं
समर्पण इस क़दर इनका मुहब्बत में भले धोखा
मिले इनको मगर ये एक-तरफ़ा भी निभाते हैं
भरोसा ही नहीं तुझको हमारी इस मुहब्बत पर
तो सुन ज़ालिम निकलकर अब तेरे पहलू से जाते हैं
मुझे मालूम है अरहत बहुत दुख है ज़माने में
तभी अब हम तेरे सजदे में सिर अपना झुकाते हैं
As you were reading Shayari by Prashant Arahat
our suggestion based on Prashant Arahat
As you were reading undefined Shayari