hum bhi to jalne na denge bastiyaan ik baar aur | हम भी तो जलने न देंगे बस्तियाँ इक बार और - Meem Alif Shaz

hum bhi to jalne na denge bastiyaan ik baar aur
tum sambhalo apni apni pagdiyaan ik baar aur

hum chale jaayenge hum bhi to musafir hain yahan
zindagi ke saath beeten sardiyaan ik baar aur

yah raha vaada hamaara thaam lenge un ka haath
bas humein aa jaayen ik do hichakiyaan ik baar aur

tu dikha de hausla apna jala phir se charaagh
haar jaayegi chali jo aandhiyaan ik baar aur

gar nadi ko laani hai tughyaani to le aaye shaaz
phir uda denge nadi kii dhajjiyaan ik baar aur

हम भी तो जलने न देंगे बस्तियाँ इक बार और
तुम सँभालो अपनी अपनी पगड़ियाँ इक बार और

हम चले जाएँगे हम भी तो मुसाफ़िर हैं यहाँ
ज़िन्दगी के साथ बीतें सर्दियाँ इक बार और

यह रहा वादा हमारा थाम लेंगे उन का हाथ
बस हमें आ जाएँ इक दो हिचकियाँ इक बार और

तू दिखा दे हौसला अपना जला फिर से चराग़
हार जाएगी चली जो आँधियाँ इक बार और

गर नदी को लानी है तुग़्यानी तो ले आए 'शाज़'
फिर उड़ा देंगे नदी की धज्जियाँ इक बार और

- Meem Alif Shaz
0 Likes

More by Meem Alif Shaz

As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz

Similar Writers

our suggestion based on Meem Alif Shaz

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari