khud ko jaise kho rahe hain
ashk ko ham dho rahe hain
hukmraan ko kya kahein ham
zahar jab ham bo rahe hain
dost dushman jo bane ab
saath chalte vo rahe hain
gaav ko jo chhod aaye
ab zameen ko ro rahe hain
hai muhabbat khud se gar to
hijr ko kyun dho rahe hain
ho rahi ab aankh patthar
shehar ke ham ho rahe hain
hamko manzil chahiye thi
ham bhatkte to rahe hain
ratjage ham ho gaye phir
chain se sab so rahe hain
ख़ुद को जैसे खो रहे हैं
अश्क को हम ढो रहे हैं
हुक्मराँ को क्या कहें हम
ज़हर जब हम बो रहे हैं
दोस्त दुश्मन जो बने अब
साथ चलते वो रहे हैं
गाँव को जो छोड़ आए
अब ज़मीं को रो रहे हैं
है मुहब्बत ख़ुद से गर तो
हिज्र को क्यों ढो रहे हैं
हो रही अब आँख पत्थर
शहर के हम हो रहे हैं
हमको मंज़िल चाहिए थी
हम भटकते तो रहे हैं
रतजगे हम हो गए फिर
चैन से सब सो रहे हैं
As you were reading Shayari by Lalit Mohan Joshi
our suggestion based on Lalit Mohan Joshi
As you were reading undefined Shayari