shayari ka hai hunar jab se yun aaya
phir gale se yaar fanda bhi hataaya
main ghazal likhta raha sab dard kii hi
yun mohabbat ko sabhi ne phir lutaaya
zakhm kii kya umr hogi saamne ab
shayari ka fan ye hamne jab chalaaya
ashk aankhon se kabhi bahne lage to
phir kahi dariya se unko yun milaaya
jang ko jab jeetne ka khud hunar ho
haar ko phir yun nahin maathe lagaaya
kah diya hai aasmaan se maine ye to
khair ab uski nahin gar gham giraaya
khil gaya chehra sabhi ka shayari se
jab lalit ne sher apna ik sunaaya
शायरी का है हुनर जब से यूँ आया
फिर गले से यार फंदा भी हटाया
मैं ग़ज़ल लिखता रहा सब दर्द की ही
यूँ मोहब्बत को सभी ने फिर लुटाया
ज़ख़्म की क्या उम्र होगी सामने अब
शायरी का फ़न ये हमने जब चलाया
अश्क आँखों से कभी बहने लगे तो
फिर कही दरिया से उनको यूँ मिलाया
जंग को जब जीतने का ख़ुद हुनर हो
हार को फिर यूँ नहीं माथे लगाया
कह दिया है आसमाँ से मैंने ये तो
ख़ैर अब उसकी नहीं गर ग़म गिराया
खिल गया चेहरा सभी का शायरी से
जब 'ललित' ने शेर अपना इक सुनाया
As you were reading Shayari by Lalit Mohan Joshi
our suggestion based on Lalit Mohan Joshi
As you were reading undefined Shayari