haqeeqat sapnon mein sapne haqeeqat mein badal jaaye
kahin to phir teri nafrat muhabbat mein badal jaaye
agar main maykade ko chhodkar dargaah aa jaaun
to phir ye badduaen saari mannat mein badal jaaye
tira lashkar tira parcham liye kaatil bana to hai
qayamat ho ke jeeti shay shahaadat mein badal jaaye
mujhe kitna pareshaan kar rakha hai tere zakhmon ne
tiri zulfon ke saayein dard lazzat mein badal jaaye
muhabbat aur bhi ziyaada haseen ho jaaye samjhe preet
agar nadaaniyaan apni sharaarat mein badal jaaye
हक़ीक़त सपनों में, सपने हक़ीक़त में बदल जाए
कहीं तो फिर, तेरी नफ़रत मुहब्बत में बदल जाए
अगर मैं मयकदे को छोड़कर दरगाह आ जाऊं
तो फिर ये बद्दुआएं सारी मन्नत में बदल जाए
तिरा लश्कर तिरा परचम लिए कातिल बना तो है
कयामत हो के जीती शय शहादत में बदल जाए
मुझे कितना परेशां कर रखा है तेरे ज़ख्मों ने
तिरी ज़ुल्फ़ों के साएं, दर्द लज़्जत में बदल जाए
मुहब्बत और भी ज़्यादा हसीं हो जाए, समझे "प्रीत"
अगर नादानियां अपनी शरारत में बदल जाए !!
As you were reading Shayari by Prit
our suggestion based on Prit
As you were reading undefined Shayari