yun to achhe se jaante the mujhe
phir bhi halke mein le rahe the mujhe
uski khushboo ne kar diya hairaan
vo jise phool bhejne the mujhe
kyun na chadhta nasha mohabbat ka
aapke khwaab aa chuke the mujhe
kaamyaabi se pehle apne bhi
kaisi nazaron se dekhte the mujhe
ab tadpata hoon yaad kar usko
jiske hone se masale the mujhe
haath jab tak tha baap ka sar par
sher bhi jaise bhediye the mujhe
ishq ke zikr se bhi darne laga
ishq ke aise tajarbe the mujhe
यूँ तो अच्छे से जानते थे मुझे
फिर भी हल्के में ले रहे थे मुझे
उसकी ख़ुशबू ने कर दिया हैरान
वो जिसे फूल भेजने थे मुझे
क्यों न चढ़ता नशा मोहब्बत का
आपके ख़्वाब आ चुके थे मुझे
कामयाबी से पहले अपने भी
कैसी नज़रों से देखते थे मुझे
अब तड़पता हूँ याद कर उसको
जिसके होने से मसअले थे मुझे
हाथ जब तक था बाप का सर पर
शेर भी जैसे भेड़िए थे मुझे
इश्क़ के ज़िक्र से भी डरने लगा
इश्क़ के ऐसे तजरबे थे मुझे
As you were reading Shayari by Rohit tewatia 'Ishq'
our suggestion based on Rohit tewatia 'Ishq'
As you were reading undefined Shayari