anees momin-o-ghalib dabir meer ke saath
miloon hoon roz main insha kabhi kabeer ke saath
meri yun banti nahin hai naye ameer ke saath
main guftugoo nahin karta hoon be-zameer ke saath
lapet kar main ye dil khat ke ik taraashe mein
ravana karta hoon jaan-e-jigar safeer ke saath
tadap rahe hain samaan dekhkar ye ahl-e-nazar
kaleja aa gaya mera lipt ke teer ke saath
khushi zara sii faraaghat kii usne kii hi nahin
aseer baith gaya ja ke ik aseer ke saath
tumhaare shehar mein jaahil hai koii takhtnasheen
hua nahin hai yun insaaf is faqeer ke saath
ye kah ke haath qalam kar diye gaye mere
lo rishta khatm hua haath kii lakeer ke saath
अनीस मोमिन-ओ-ग़ालिब दबीर मीर के साथ
मिलूँ हूँ रोज़ मैं इंशा कभी कबीर के साथ
मिरी यूँ बनती नहीं है नए अमीर के साथ
मैं गुफ़्तुगू नहीं करता हूँ बे-ज़मीर के साथ
लपेट कर मैं ये दिल ख़त के इक तराशे में
रवाना करता हूँ जान-ए-जिगर सफ़ीर के साथ
तड़प रहे हैं समाँ देखकर ये अहल-ए-नज़र
कलेजा आ गया मेरा लिपट के तीर के साथ
ख़ुशी ज़रा सी फ़राग़त की उसने की ही नहीं
असीर बैठ गया जा के इक असीर के साथ
तुम्हारे शहर में जाहिल है कोई तख़्तनशीं
हुआ नहीं है यूँ इंसाफ़ इस फ़क़ीर के साथ
ये कह के हाथ क़लम कर दिए गए मिरे
लो रिश्ता ख़त्म हुआ हाथ की लकीर के साथ
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading undefined Shayari